jise ishq-e-shah-e-umam ho gaya
jise 'ishq-e-shāh-e-umam ho gayā
vo dil aur bhī mohtaram ho gayā
jo un kā ḳhudā kī qasam ho gayā
vo insān mahfūz-e-ġham ho gayā
habīb-e-ḳhudā haiñ tabīb-e-jahāñ
nigāheñ uThīñ dard kam ho gayā
maiñ har dam madīne kī galiyoñ meñ huuñ
tasavvur bhī ik jām-e-jam ho gayā
maiñ jab se nabī kī panāhoñ meñ huuñ
ta'alluq zamāne se kam ho gayā
nazar ke liye hāsil-e-bandagī
mohammad kā naqsh-e-qadam ho gayā
use mil ga.ī ne'mat-e-do-e-jahāñ
jo 'bismil' rahīn-e-haram ho gayā
jise 'ishq-e-shah-e-umam ho gaya
wo dil aur bhi mohtaram ho gaya
jo un ka KHuda ki qasam ho gaya
wo insan mahfuz-e-gham ho gaya
habib-e-KHuda hain tabib-e-jahan
nigahen uThin dard kam ho gaya
main har dam madine ki galiyon mein hun
tasawwur bhi ek jam-e-jam ho gaya
main jab se nabi ki panahon mein hun
ta'alluq zamane se kam ho gaya
nazar ke liye hasil-e-bandagi
mohammad ka naqsh-e-qadam ho gaya
use mil gai ne'mat-e-do-e-jahan
jo 'bismil' rahin-e-haram ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.