KHwab mein zulf ko mukhDe se laga le aa ja
ḳhvāb meñ zulf ko mukhḌe se lagā le aa jā
be-naqāb aaj tū ai gesuoñ vaale aa jā
be-kasī par mirī ḳhuuñ rote haiñ chhāle aa jā
raah meñ chhoḌ ga.e qāfile vaale aa jā
kaun hai māh-e-'arab kaun hai mahbūb-e-ḳhudā
ai do-'ālam ke hasīnoñ se nirāle aa jā
dam tirī diid ko āñkhoñ meñ lagā rakkhā hai
le rahe haiñ tire bīmār sañbhāle aa jā
huuñ siyahkār mire 'aib khule jaate haiñ
kamlī vaale mujhe kamlī meñ chhupā le aa jā
pahuñchā mahbūb to mashshāta-e-qudrat ne kahā
ḳhalvat-e-nāz meñ ai naaz ke paale aa jā
rang-e-vahdat hai yahāñ ġhuncha-e-ḳhalvat hai yahāñ
ai gul-e-gulshan-e-laulāk kamāne aa jā
sūrat-e-lāla hai pur-dāġh 'bayāñ' kā siina
paḌ rahe haiñ tire bīmār ke laale aa jā
KHwab mein zulf ko mukhDe se laga le aa ja
be-naqab aaj tu ai gesuon wale aa ja
be-kasi par meri KHun rote hain chhaale aa ja
rah mein chhoD gae qafile wale aa ja
kaun hai mah-e-'arab kaun hai mahbub-e-KHuda
ai do-'alam ke hasinon se nirale aa ja
dam teri did ko aankhon mein laga rakkha hai
le rahe hain tere bimar sanbhaale aa ja
hun siyahkar mere 'aib khule jate hain
kamli wale mujhe kamli mein chhupa le aa ja
pahuncha mahbub to mashshata-e-qudrat ne kaha
KHalwat-e-naz mein ai naz ke pale aa ja
rang-e-wahdat hai yahan ghuncha-e-KHalwat hai yahan
ai gul-e-gulshan-e-laulak kamane aa ja
surat-e-lala hai pur-dagh 'bayan' ka sina
paD rahe hain tere bimar ke lale aa ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.