kya hi baKHt-awar hai wo insan jaan
kyā hī baḳht-āvar hai vo insān jaan
aap ke dar kā hai jo darbān jaan
ḳhud hai vāsif aap kā qur.ān jaan
kyā bayāñ ho aap kī phir shaan jaan
kaash taiba kā safar ho aur mujhe
maut aa.e naa't ke daurān jaan
sun ke qur.ān-e-muqaddas aap se
haiñ fasīhān-e-'arab hairān jaan
jo tumhārī bārgah meñ ho qubūl
vo likhūñ maiñ nā'tiya dīvān jaan
ruuh nikle aap ke darbār meñ
bas yahī hai dil meñ ik armān jaan
roz-e-mahshar ḳhuld meñ vo jā.egā
aap par le aayā jo īmān jaan
jo na maane aap ke farmān ko
hai vahī sab se baḌā nādān jaan
bā-adab kartā rahe 'āfī' sanā
kaash ho baḳhshish kā ye sāmān jaan
kya hi baKHt-awar hai wo insan jaan
aap ke dar ka hai jo darban jaan
KHud hai wasif aap ka quran jaan
kya bayan ho aap ki phir shan jaan
kash taiba ka safar ho aur mujhe
maut aae na't ke dauran jaan
sun ke quran-e-muqaddas aap se
hain fasihan-e-'arab hairan jaan
jo tumhaari bargah mein ho qubul
wo likhun main na'tiya diwan jaan
ruh nikle aap ke darbar mein
bas yahi hai dil mein ek arman jaan
roz-e-mahshar KHuld mein wo jaega
aap par le aaya jo iman jaan
jo na mane aap ke farman ko
hai wahi sab se baDa nadan jaan
ba-adab karta rahe 'afi' sana
kash ho baKHshish ka ye saman jaan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.