kyon qarar aata nahin dil ko kisi surat na puchh
kyoñ qarār aatā nahīñ dil ko kisī sūrat na pūchh
ishtiyāq-e-rūyat-e-hazrat kī kaifiyyat na pūchh
jhuk rahī hai aaj bhī qadmoñ par un ke kā.enāt
ḳhāksārān-e-shah-e-kaunain kī 'azmat na pūchh
jāguzīñ dil meñ mire 'ishq-e-shah-e-laulāk hai
bārgāh-e-quds meñ is kī hai kyā qīmat na pūchh
jis ke aage hai bahār-e-gulshan-e-jannat ḳhajil
kitnī dilkash hai fazā-e-rauza-e-hazrat na pūchh
kahiye us ko maḳhzan-e-asrār to bilkul bajā
dil meñ poshīda hai kis ke 'ishq kī daulat na pūchh
jab zabāñ par aa gayā naam ahmad-e-muḳhtār kā
ranj meñ bhī mil ga.ī hai kis qadar rāhat na pūchh
huuñ ġhulām-e-shāfe'-e-mahshar 'jamālī' ġham nahīñ
apnī baḳhshish kī nikal aa.egī kyā sūrat na pūchh
kyon qarar aata nahin dil ko kisi surat na puchh
ishtiyaq-e-ruyat-e-hazrat ki kaifiyyat na puchh
jhuk rahi hai aaj bhi qadmon par un ke kaenat
KHaksaran-e-shah-e-kaunain ki 'azmat na puchh
jaguzin dil mein mere 'ishq-e-shah-e-laulak hai
bargah-e-quds mein is ki hai kya qimat na puchh
jis ke aage hai bahaar-e-gulshan-e-jannat KHajil
kitni dilkash hai faza-e-rauza-e-hazrat na puchh
kahiye us ko maKHzan-e-asrar to bilkul baja
dil mein poshida hai kis ke 'ishq ki daulat na puchh
jab zaban par aa gaya nam ahmad-e-muKHtar ka
ranj mein bhi mil gai hai kis qadar rahat na puchh
hun ghulam-e-shafe'-e-mahshar 'jamali' gham nahin
apni baKHshish ki nikal aaegi kya surat na puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.