main jo qismat se madine ka gada ho jata
maiñ jo qismat se madīne kā gadā ho jaatā
fazl-e-maulā se maiñ shāhoñ se baḌā ho jaatā
vird-e-lab salle-'alā salle-'alā ho jaatā
bahr-e-ālām se maiñ pal meñ rihā ho jaatā
mustahiq ḳhuld kā ho jaatā baroz-e-mahshar
jān-o-dil merā agar un pe fidā ho jaatā
baḳht par naaz mire karte zamāne vaale
shahr-e-taiba meñ agar jaanā mirā ho jaatā
aap ke dar pe jo phailāte haiñ jholī apnī
un ko bin māñge hī sab kuchh hī 'atā ho jaatā
'āfī' tū naa't agar likhtā faqat un ke liye
raazī phir kyoñ na bhalā tujh se ḳhudā ho jaatā
main jo qismat se madine ka gada ho jata
fazl-e-maula se main shahon se baDa ho jata
wird-e-lab salle-'ala salle-'ala ho jata
bahr-e-alam se main pal mein riha ho jata
mustahiq KHuld ka ho jata baroz-e-mahshar
jaan-o-dil mera agar un pe fida ho jata
baKHt par naz mere karte zamane wale
shahr-e-taiba mein agar jaana mera ho jata
aap ke dar pe jo phailate hain jholi apni
un ko bin mange hi sab kuchh hi 'ata ho jata
'afi' tu na't agar likhta faqat un ke liye
raazi phir kyon na bhala tujh se KHuda ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.