main kaise karun midhat-e-sarkar-e-madina
meñ kaise karūñ mid.hat-e-sarkār-e-madīna
hai pesh-e-nazar manzar-e-zau-bār-e-madīna
chakkar to lagā aa.e haiñ shahroñ ke nagar ke
hasrat hai hameñ phir mile darbār-e-madīna
duniyā ne bahut DhūñDā mohammad kā muqābil
mil paayā nahīñ jaisā hai sardār-e-madīna
as.hāb-e-risālat ne kahā ajr batā.eñ
ḳhāmosh hue sunte hī sarkār-e-madīna
jibrīl-e-amīñ ne kahā hai ajr mavaddat
ab dekhiye kyā karte haiñ makkār-e-madīna
jab āl-e-mohammad kī mavaddat kā huā zikr
chehre hue faq chubh ga.e kuchh ḳhār-e-madīna
jab tum se adā hogā nahīñ ajr-e-risālat
bas naam ke rah jāoge zavvār-e-madīna
kitne to zakātoñ ko adā kar nahīñ paa.e
kahte the musalmāñ jinheñ zardār-e-madīna
ham-rāh risālat ke 'alī sīna-sipar the
hasnain hamesha the vafādār-e-madīna
jaate the mohammad dar-e-zahrā pe hamesha
karne ko salāmī ma’-e-ansār-e-madīna
ḳhvāhish hai madīne kī mukarrar ho ziyārat
phir dar pe bulā.eñ hameñ sarkār-e-madīna
'ābid' ko ġhulāmī kī sanad mil ke rahegī
zahrā kī du'āoñ se huuñ mai-ḳhvār-e-madīna
mein kaise karun midhat-e-sarkar-e-madina
hai pesh-e-nazar manzar-e-zau-bar-e-madina
chakkar to laga aae hain shahron ke nagar ke
hasrat hai hamein phir mile darbar-e-madina
duniya ne bahut DhunDa mohammad ka muqabil
mil paya nahin jaisa hai sardar-e-madina
ashab-e-risalat ne kaha ajr bataen
KHamosh hue sunte hi sarkar-e-madina
jibril-e-amin ne kaha hai ajr mawaddat
ab dekhiye kya karte hain makkar-e-madina
jab aal-e-mohammad ki mawaddat ka hua zikr
chehre hue faq chubh gae kuchh KHar-e-madina
jab tum se ada hoga nahin ajr-e-risalat
bas nam ke rah jaoge zawwar-e-madina
kitne to zakaton ko ada kar nahin pae
kahte the musalman jinhen zardar-e-madina
ham-rah risalat ke 'ali sina-sipar the
hasnain hamesha the wafadar-e-madina
jate the mohammad dar-e-zahra pe hamesha
karne ko salami ma’-e-ansar-e-madina
KHwahish hai madine ki mukarrar ho ziyarat
phir dar pe bulaen hamein sarkar-e-madina
'abid' ko ghulami ki sanad mil ke rahegi
zahra ki du'aon se hun mai-KHwar-e-madina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.