makke ki baat kar tu madine ki baat kar
makke kī baat kar tū madīne kī baat kar
zāhid kabhī to mujh se qarīne kī baat kar
duniyā ke sīm-o-zar na ḳhazīne kī baat kar
un kī navāzishoñ ke dafīne kī baat kar
sadqe meñ jis ke phuul mahakte haiñ baaġh meñ
mauj-e-nasīm un ke pasīne kī baat kar
vā'iz bayān ho chukā machhlī ke peT kā
ġhār-e-hirā ke qalb kī siine kī baat kar
'īdain kā siyām kā haj kā mahīna hai
jin ke sabab hai un ke mahīne kī baat kar
ab chhoḌ apne bām-e-taraqqī kī dāstāñ
ai zindagī tū 'arsh ke ziine kī baat kar
saaqī ho jin se gumbad-e-ḳhazrā kā in'ikās
un manzaroñ meñ Duub ke piine kī baat kar
jaanā hai tujh ko ḳhuld magar mujh se nāḳhudā
taiba ko jaane vaale safīne kī baat kar
angushtarī-e-dil pe na jā mere ham-nashīñ
angushtarī-e-dil ke nagīne kī baat kar
hamd-e-ḳhudā-o-sayyad-e-'ālam kī naa't likh
'aḳhtar' pas-e-hayāt bhī jiine kī baat kar
makke ki baat kar tu madine ki baat kar
zahid kabhi to mujh se qarine ki baat kar
duniya ke sim-o-zar na KHazine ki baat kar
un ki nawazishon ke dafine ki baat kar
sadqe mein jis ke phul mahakte hain bagh mein
mauj-e-nasim un ke pasine ki baat kar
wa'iz bayan ho chuka machhli ke peT ka
ghaar-e-hira ke qalb ki sine ki baat kar
'idain ka siyam ka haj ka mahina hai
jin ke sabab hai un ke mahine ki baat kar
ab chhoD apne baam-e-taraqqi ki dastan
ai zindagi tu 'arsh ke zine ki baat kar
saqi ho jin se gumbad-e-KHazra ka in'ikas
un manzaron mein Dub ke pine ki baat kar
jaana hai tujh ko KHuld magar mujh se naKHuda
taiba ko jaane wale safine ki baat kar
angushtari-e-dil pe na ja mere ham-nashin
angushtari-e-dil ke nagine ki baat kar
hamd-e-KHuda-o-sayyad-e-'alam ki na't likh
'aKHtar' pas-e-hayat bhi jine ki baat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.