mohammad ne zamin ko aasman ki baadshahi di
mohammad ne zamīñ ko āsmāñ kī bādshāhī dī
barahna sar jo phirte the unheñ bhī kaj-kulāhī dī
isī sūrat se e’jāz-e-mohabbat sāmne aayā
ki un ko bhī amaañ de dī jinhoñ ne be-panāhī dī
vahī as.hāb-e-suffa the jinheñ dars-e-mohammad ne
faqīrāna ravish meñ bhī ġhazab kī shān-e-shāhī dī
siyāhī barsar-e-paikār aa.ī to huā aisā
chamakte chāñd sūraj ne mohammad kī gavāhī dī
hamāre nukta-chīñ aa.eñ zarā dekheñ mohammad ko
jinhoñ ne saltanat ko bhī nigāh-e-ḳhānqāhī dī
zarā e'jāz to dekho mohammad kī nubuvvat kā
jo ḳhādim the unheñ bhī mamlikat kī sarbarāhī dī
'shamīm' un par nigāheñ jam ga.ī haiñ ek muddat se
ḳhudā ne 'umr bhar jin ko na hirs-e-murġh-māhī dī
mohammad ne zamin ko aasman ki baadshahi di
barahna sar jo phirte the unhen bhi kaj-kulahi di
isi surat se e’jaz-e-mohabbat samne aaya
ki un ko bhi aman de di jinhon ne be-panahi di
wahi ashab-e-suffa the jinhen dars-e-mohammad ne
faqirana rawish mein bhi ghazab ki shan-e-shahi di
siyahi barsar-e-paikar aai to hua aisa
chamakte chand suraj ne mohammad ki gawahi di
hamare nukta-chin aaen zara dekhen mohammad ko
jinhon ne saltanat ko bhi nigah-e-KHanqahi di
zara e'jaz to dekho mohammad ki nubuwwat ka
jo KHadim the unhen bhi mamlikat ki sarbarahi di
'shamim' un par nigahen jam gai hain ek muddat se
KHuda ne 'umr bhar jin ko na hirs-e-murgh-mahi di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.