mubarak un ko dar-e-nabi par jo chand ghaDiyan guzar aae

mubarak un ko dar-e-nabi par jo chand ghaDiyan guzar aae
Aqeel Sambhali
MORE BYAqeel Sambhali
mubārak un ko dar-e-nabī par jo chand ghaḌiyāñ guzār aa.e
vo apnī 'uqbā sudhār aa.e vo apnī duniyā sañvār aa.e
karam sarāpā tamām rahmat nafas masīhā nigāh marham
vo ġham-zadoñ ke jahāñ meñ le kar payām-e-sabr-o-qarār aa.e
sahāb-e-rahmat kā hai ye 'ālam ki ġhair par bhī karam kī bārish
nigāh-o-dil meñ ye dard-mandī ki dushmanoñ par bhī pyaar aa.e
hamāre dāman meñ kuchh nahīñ thā jo un kī mahfil meñ pesh karte
bas ek jaañ thī jo nazr kar dī bas ek dil thā jo vaar aa.e
'aqīl' sidq-o-safā kā jaada na ham ne chhoḌā na ham se chhūTā
hamārī rāhoñ meñ zor-e-bātil hazār kyā laakh baar aa.e
mubarak un ko dar-e-nabi par jo chand ghaDiyan guzar aae
wo apni 'uqba sudhaar aae wo apni duniya sanwar aae
karam sarapa tamam rahmat nafas masiha nigah marham
wo gham-zadon ke jahan mein le kar payam-e-sabr-o-qarar aae
sahab-e-rahmat ka hai ye 'alam ki ghair par bhi karam ki barish
nigah-o-dil mein ye dard-mandi ki dushmanon par bhi pyar aae
hamare daman mein kuchh nahin tha jo un ki mahfil mein pesh karte
bas ek jaan thi jo nazr kar di bas ek dil tha jo war aae
'aqil' sidq-o-safa ka jada na hum ne chhoDa na hum se chhuTa
hamari rahon mein zor-e-baatil hazar kya lakh bar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.