mujhko shadid ishq hai nam-e-nabi ke sath
mujh ko shadīd 'ishq hai nām-e-nabī ke saath
har shai bachā.ī jā.egī ik din isī ke saath
puure jahāñ meñ kaisā ujālā ye kar diyā
ġhār-e-hirā se laa.ī huī raushnī ke saath
baaqī nahīñ patā vo hai muflis ki bādshāh
jo bhī nabī ke saath hai maiñ huuñ usī ke saath
donoñ jahān kī hai milī saltanat unheñ
aur zindagī guzārī hai kis sādgī ke saath
jaate haiñ shahr-e-‘ilm meñ bas bāb-e-‘ilm se
rakhnā hai rābta hameñ maulā 'alī ke saath
'ātif' bulā.eñ mujh ko madīne meñ vo kabhī
hāzir huuñ un ke dar pe maiñ is shā'irī ke saath
mujh ko shadid 'ishq hai nam-e-nabi ke sath
har shai bachai jaegi ek din isi ke sath
pure jahan mein kaisa ujala ye kar diya
ghaar-e-hira se lai hui raushni ke sath
baqi nahin pata wo hai muflis ki baadshah
jo bhi nabi ke sath hai main hun usi ke sath
donon jahan ki hai mili saltanat unhen
aur zindagi guzari hai kis sadgi ke sath
jate hain shahr-e-‘ilm mein bas bab-e-‘ilm se
rakhna hai rabta hamein maula 'ali ke sath
'atif' bulaen mujh ko madine mein wo kabhi
hazir hun un ke dar pe main is sha'iri ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.