mustafa ki chaukhaT se kya kahen ki kya paya
mustafā kī chaukhaT se kyā kaheñ ki kyā paayā
ruuh kī ġhizā paa.ī diid kā maza paayā
aaqā bhī karīm apnā daatā bhī karīm apnā
ham ne yuuñ karam vaalā ek silsila paayā
ho gayā ġhanī koī koī fāteh-e-ḳhaibar
jis ne mere aaqā se paayā be-bahā paayā
sāhib-e-kamāl aisā mālik-e-jamāl aisā
ai falak batā tū ne koī dūsrā paayā
terī 'azmateñ aaqā bas tirā ḳhudā jaane
ham ne ūñche ūñchoñ ko taiba meñ jhukā paayā
sarvar-e-do-'ālam kī bārgāh-e-aqdas meñ
jis ne jo sunā dekhā jis ne jo kahā paayā
hashr meñ ye dekhegā mad.h-ḳhvāñ mohammad kā
nā’t-e-pāk kahne kā kis qadar sila paaya
'nūr' un kī fayyāzī dekh hauz-e-kausar par
jaam ik huā ḳhālī dūsrā bharā paayā
mustafa ki chaukhaT se kya kahen ki kya paya
ruh ki ghiza pai did ka maza paya
aaqa bhi karim apna data bhi karim apna
hum ne yun karam wala ek silsila paya
ho gaya ghani koi koi fateh-e-KHaibar
jis ne mere aaqa se paya be-baha paya
sahib-e-kamal aisa malik-e-jamal aisa
ai falak bata tu ne koi dusra paya
teri 'azmaten aaqa bas tera KHuda jaane
hum ne unche unchon ko taiba mein jhuka paya
sarwar-e-do-'alam ki bargah-e-aqdas mein
jis ne jo suna dekha jis ne jo kaha paya
hashr mein ye dekhega madh-KHwan mohammad ka
na’t-e-pak kahne ka kis qadar sila paya
'nur' un ki fayyazi dekh hauz-e-kausar par
jam ek hua KHali dusra bhara paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.