nam-e-mustafa le kar ghar se hum nikalte hain
nām-e-mustafā le kar ghar se ham nikalte haiñ
Dar ke hādse ham se apnā ruḳh badalte haiñ
sab pe hai karam un kā vo haiñ rahmat-e-'ālam
rahmatoñ ke saa.e meñ ham sabhī to palte haiñ
jaane kaun kartā hai yaad ab du'āoñ meñ
har ghaḌī mire sar se hādse jo Talte haiñ
log yuuñ badalte haiñ jaise koī mausam ho
ham ġhulām aaqā ke ham kahāñ badalte haiñ
jab koī sunātā hai nā't-e-ahmad-e-mursal
jo haiñ diin ke dushman vo hamesha jalte haiñ
nam-e-mustafa le kar ghar se hum nikalte hain
Dar ke hadse hum se apna ruKH badalte hain
sab pe hai karam un ka wo hain rahmat-e-'alam
rahmaton ke sae mein hum sabhi to palte hain
jaane kaun karta hai yaad ab du'aon mein
har ghaDi mere sar se hadse jo Talte hain
log yun badalte hain jaise koi mausam ho
hum ghulam aaqa ke hum kahan badalte hain
jab koi sunata hai na't-e-ahmad-e-mursal
jo hain din ke dushman wo hamesha jalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.