nabiyon mein martaba hai nirala rasul ka
nabiyoñ meñ martaba hai nirālā rasūl kā
saanī rasūl kā hai na saayā rasūl kā
kartā maiñ kis zabān se tausīf-e-mustafā
sharh-e-kalām-e-pāk hai chehra rasūl kā
raushan haiñ jis ke dam se falak par mah-o-nujūm
vo nūr-e-lam-yazal hai sarāpā rasūl kā
jo jī meñ aa.e le leñ ġhulāmān-e-mustafā
jannat bhī hai rasūl kī taiba rasūl kā
us ke liye hī ḳhuld-e-barīñ kī bahār hai
paḌhtā hai har ghaḌī jo vazīfa rasūl kā
bik jaatī kā.enāt ye hāthoñ yazīd ke
karbal meñ gar na hotā navāsā rasūl kā
saaya zamīñ pe paḌnā gavāra na thā 'shamīm'
rakkhā na rab ne is liye saaya rasūl kā
nabiyon mein martaba hai nirala rasul ka
sani rasul ka hai na saya rasul ka
karta main kis zaban se tausif-e-mustafa
sharh-e-kalam-e-pak hai chehra rasul ka
raushan hain jis ke dam se falak par mah-o-nujum
wo nur-e-lam-yazal hai sarapa rasul ka
jo ji mein aae le len ghulaman-e-mustafa
jannat bhi hai rasul ki taiba rasul ka
us ke liye hi KHuld-e-barin ki bahaar hai
paDhta hai har ghaDi jo wazifa rasul ka
bik jati kaenat ye hathon yazid ke
karbal mein gar na hota nawasa rasul ka
saya zamin pe paDna gawara na tha 'shamim'
rakkha na rab ne is liye saya rasul ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.