nau-e-insan ki hidayat ke liye aae rasul
nau'-e-insāñ kī hidāyat ke liye aa.e rasūl
zindagī kā ik zābta laa.e rasūl
khul ga.e āñkhoñ pe asrār-e-hayāt-o-kā.enāt
zehn-o-dil ko kar ga.e raushan suḳhan-hā-e-rasūl
ban ga.ī gahvāra-e-amn-o-amāñ ye zindagī
aap ke andāz jab duniyā ne apnā.e rasūl
mausamoñ ke saath un ke phuul bhī murjhā ga.e
inqilāb-e-vaqt par hañste haiñ gul-hā.e-rasūl
muntashir phir ho gayā insāniyat kā qāfila
DhūñD kar phir lā.iye naqsh-e-kaf-e-pā-e-rasūl
us se baḌh kar kaun hogā kāmyāb-e-zindagī
jis se ḳhush ho jaa.e aaqā jis ko mil jaa.e rasūl
ham meñ phir tafrīq kaisī ajnabiyyat kis liye
maiñ bhī shaidā-e-mohammad tū bhī shaidā-e-rasūl
dil vahī dil hai jo us ke ġham kā mahram ho 'azīz'
sar vahī sar hai bharā ho jis meñ saudā-e-rasūl
nau'-e-insan ki hidayat ke liye aae rasul
zindagi ka ek zabta lae rasul
khul gae aankhon pe asrar-e-hayat-o-kaenat
zehn-o-dil ko kar gae raushan suKHan-ha-e-rasul
ban gai gahwara-e-amn-o-aman ye zindagi
aap ke andaz jab duniya ne apnae rasul
mausamon ke sath un ke phul bhi murjha gae
inqilab-e-waqt par hanste hain gul-hae-rasul
muntashir phir ho gaya insaniyat ka qafila
DhunD kar phir laiye naqsh-e-kaf-e-pa-e-rasul
us se baDh kar kaun hoga kaamyab-e-zindagi
jis se KHush ho jae aaqa jis ko mil jae rasul
hum mein phir tafriq kaisi ajnabiyyat kis liye
main bhi shaida-e-mohammad tu bhi shaida-e-rasul
dil wahi dil hai jo us ke gham ka mahram ho 'aziz'
sar wahi sar hai bhara ho jis mein sauda-e-rasul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.