quran-e-mubin surat-e-sultan-e-madina
qur.ān-e-mubīñ sūrat-e-sultān-e-madīna
farmān-e-matīñ hujjat-e-sultān-e-madīna
jab 'ishq ne kī bai'at-e-sultān-e-madīna
jazboñ meñ basī ġhāyat-e-sultān-e-madīna
iqrā kī sahar nūr-e-hudā shams-e-risālat
tanvīr-e-hirā hazrat-e-sultān-e-madīna
jalve haiñ sar-e-'arsh-e-barīñ ye to ḳhabar hai
mā'lūm nahīñ rif'at-e-sultān-e-madīna
gulzār-e-sharī'at kā agar phuul hai to bhī
sāñsoñ meñ basā nik.hat-e-sultān-e-madīna
dushman ko bhī dete haiñ 'ināyāt ke tohfe
lā-raib hai ye 'azmat-e-sultān-e-madīna
aflāk bhī jhukte haiñ madīne kī zamīñ par
allāh re ye satvat-e-sultān-e-madīna
hotā hai vahī saltanat-e-vaqt kā vāris
mil jaa.e jise qurbat-e-sultān-e-madīna
is firqa-parastī ke ta'assub ko miTā de
jiinā hai agar ummat-e-sultān-e-madīna
us haath pe ho jaao sabhī mil ke nichhāvar
jis haath meñ ho rāyat-e-sultān-e-madīna
maddāh-e-risālat huuñ sar-e-'arsa-e-mahshar
DhūñDegī mujhe rahmat-e-sultān-e-madīna
jab fikr meñ ghul jaatā hai yādoñ kā taqaddus
kartā huuñ raqam mid.hat-e-sultān-e-madīna
ashkoñ meñ na bah jaa.e kahīñ qalb-e-hazīñ bhī
itnā na satā furqat-e-sultān-e-madīna
mujh se hai mashiyyat kā bharam dahr meñ 'zauqī'
ġhairat hai mirī ġhairat-e-sultān-e-madīna
quran-e-mubin surat-e-sultan-e-madina
farman-e-matin hujjat-e-sultan-e-madina
jab 'ishq ne ki bai'at-e-sultan-e-madina
jazbon mein basi ghayat-e-sultan-e-madina
iqra ki sahar nur-e-huda shams-e-risalat
tanwir-e-hira hazrat-e-sultan-e-madina
jalwe hain sar-e-'arsh-e-barin ye to KHabar hai
ma'lum nahin rif'at-e-sultan-e-madina
gulzar-e-shari'at ka agar phul hai to bhi
sanson mein basa nikhat-e-sultan-e-madina
dushman ko bhi dete hain 'inayat ke tohfe
la-raib hai ye 'azmat-e-sultan-e-madina
aflak bhi jhukte hain madine ki zamin par
allah re ye satwat-e-sultan-e-madina
hota hai wahi saltanat-e-waqt ka waris
mil jae jise qurbat-e-sultan-e-madina
is firqa-parasti ke ta'assub ko miTa de
jina hai agar ummat-e-sultan-e-madina
us hath pe ho jao sabhi mil ke nichhawar
jis hath mein ho rayat-e-sultan-e-madina
maddah-e-risalat hun sar-e-'arsa-e-mahshar
DhunDegi mujhe rahmat-e-sultan-e-madina
jab fikr mein ghul jata hai yaadon ka taqaddus
karta hun raqam midhat-e-sultan-e-madina
ashkon mein na bah jae kahin qalb-e-hazin bhi
itna na sata furqat-e-sultan-e-madina
mujh se hai mashiyyat ka bharam dahr mein 'zauqi'
ghairat hai meri ghairat-e-sultan-e-madina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.