Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rasulon mein mumtaz-o-akbar tumhin ho

Behzad Lakhnavi

rasulon mein mumtaz-o-akbar tumhin ho

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    rasūloñ meñ mumtāz-o-akbar tumhīñ ho

    payambar bhī maane payambar tumhīñ ho

    tumhārī tajallī hai kaun-o-makāñ meñ

    haqīqat meñ māh-e-munavvar tumhīñ ho

    tumhīñ ne dikhā.ī hai rāh-e-haqīqat

    tamāmī-e-ālam ke rahbar tumhīñ ho

    kaho to tumheñ raaz dil batā duuñ

    suno hasrat-e-qalb-e-muztar tumhīñ ho

    banāo to marzī bigāḌo to marzī

    ki qismat tumhīñ ho muqaddar tumhīñ ho

    tumhārī taraf nazar āsiyoñ

    shafā.at-kun-e-yaum-e-mahshar tumhīñ ho

    tumhīñ to ho 'bahzād' ke dil meñ pinhāñ

    madīna meñ bhī jalva-gustar tumhīñ ho

    rasulon mein mumtaz-o-akbar tumhin ho

    payambar bhi mane payambar tumhin ho

    tumhaari tajalli hai kaun-o-makan mein

    haqiqat mein mah-e-munawwar tumhin ho

    tumhin ne dikhai hai rah-e-haqiqat

    tamami-e-alam ke rahbar tumhin ho

    kaho to tumhein raaz dil ka bata dun

    suno hasrat-e-qalb-e-muztar tumhin ho

    banao to marzi bigaDo to marzi

    ki qismat tumhin ho muqaddar tumhin ho

    tumhaari taraf hi nazar aasiyon ki

    shafaat-kun-e-yaum-e-mahshar tumhin ho

    tumhin to ho 'bahzad' ke dil mein pinhan

    madina mein bhi jalwa-gustar tumhin ho

    Source:

    Naat-e-Huzoor (Pg. 13)

    • Author: Behzad Lakhnavi
      • Publisher: Maktaba Burhan, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now