sari sadiyon pe jo bhaari hai wo lamha milta
saarī sadiyoñ pe jo bhārī hai vo lamha miltā
kaash sarkār-e-do-'ālam kā zamāna miltā
aap ko dekhtā makke se maiñ hijrat karte
aap kā naqsh-e-qadam aap kā rasta miltā
aap ko dekhtā taa.ef meñ du'ā.eñ dete
yuuñ mire sabr-o-tahammul ko salīqa miltā
aap ke sāmne rakh detā maiñ sab kuchh lā kar
nusrat-e-dīñ ke liye jab bhī ishāra miltā
apnā ghar-bār luTā detā to us ke badle
hubb-e-sarkār-e-madīna kā ḳhazāna miltā
aap ke pīchhe khaḌe ho ke namāzeñ paḌhtā
aap ke qadmoñ ke pīchhe mujhe sajda miltā
bhuul jaatā maiñ kisī taaq meñ āñkheñ rakh kar
aap ko dekhte rahne kā bahāna miltā
aap kī tarh biThātā maiñ use shānoñ par
raah meñ aap kā jab koī navāsā miltā
hashr tak merī ġhulāmī yuuñ hī qaa.em rahtī
merī har nasl ko 'faḳhrī' yahī virsa miltā
sari sadiyon pe jo bhaari hai wo lamha milta
kash sarkar-e-do-'alam ka zamana milta
aap ko dekhta makke se main hijrat karte
aap ka naqsh-e-qadam aap ka rasta milta
aap ko dekhta taef mein du'aen dete
yun mere sabr-o-tahammul ko saliqa milta
aap ke samne rakh deta main sab kuchh la kar
nusrat-e-din ke liye jab bhi ishaara milta
apna ghar-bar luTa deta to us ke badle
hubb-e-sarkar-e-madina ka KHazana milta
aap ke pichhe khaDe ho ke namazen paDhta
aap ke qadmon ke pichhe mujhe sajda milta
bhul jata main kisi taq mein aankhen rakh kar
aap ko dekhte rahne ka bahana milta
aap ki tarh biThata main use shanon par
rah mein aap ka jab koi nawasa milta
hashr tak meri ghulami yun hi qaem rahti
meri har nasl ko 'faKHri' yahi wirsa milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.