sadaqat ka sharafat ka saKHawat ka shujaat ka
sadāqat kā sharāfat kā saḳhāvat kā shujā'at kā
bajegā hashr tak Dankā mire aaqā kī 'azmat kā
hameñ kyoñ ḳhauf ho mahshar kā mahshar kī tamāzat kā
hamāre vāste mahshar kā din din hai shafā'at kā
kabūtar ke udhar anDe idhar makḌī ke jaale haiñ
'ajab andāz dekhā hai zamāne ne hifāzat kā
mirā īmān hai āñkheñ vo andhī ho nahīñ saktīñ
sharaf paayā hai jin āñkhoñ ne rauze kī ziyārat kā
tire dar se khulā hai 'ilm kā ik ek darvāza
lagā.e kaun andāza tirī shān-e-liyāqat kā
sadaqat ka sharafat ka saKHawat ka shuja'at ka
bajega hashr tak Danka mere aaqa ki 'azmat ka
hamein kyon KHauf ho mahshar ka mahshar ki tamazat ka
hamare waste mahshar ka din din hai shafa'at ka
kabutar ke udhar anDe idhar makDi ke jale hain
'ajab andaz dekha hai zamane ne hifazat ka
mera iman hai aankhen wo andhi ho nahin saktin
sharaf paya hai jin aankhon ne rauze ki ziyarat ka
tere dar se khula hai 'ilm ka ek ek darwaza
lagae kaun andaza teri shan-e-liyaqat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.