shamsuzzuha bhi aap hain badrudduja bhi aap

shamsuzzuha bhi aap hain badrudduja bhi aap
Zauqi Muzaffar Nagari
MORE BYZauqi Muzaffar Nagari
shamsuzzuhā bhī aap haiñ badruddujā bhī aap
ā.īna-e-shu'ūr ke ruḳh kī jilā bhī aap
dhūpoñ kī rahguzār meñ abr-e-karam bhī haiñ
bahr-e-fanā meñ sāhil-e-mauj-e-baqā bhī aap
qāsid bhī jazb-e-qasr bhī maqsad bhī aap haiñ
manzil bhī rāhbar bhī rah-e-kibriyā bhī aap
kyūñkar na shar-zadoñ ko mile aap se sukūñ
ḳhairul-bashar bhī aap haiñ ḳhair-ul-varā bhī aap
kyūñkar na farsh-o-‘arsh fazā.el raqam kareñ
sarḳhail-e-ambiyā haiñ habīb-e-ḳhudā bhī aap
larzāñ ho kyoñ na sho'bada-bāzoñ kā har fusūñ
īmāñ bhī haiñ yaqīñ bhī charāġh-e-hudā bhī aap
shāhid agar burāq hai rafraf bhī hai gavāh
me'rāj-e-rah-ravī kī rah-e-irtiqā bhī aap
sub.h-e-azal bhī shām-e-abad bhī hai aap se
kal ibtidā bhī aap the aaj intihā bhī aap
saarā zamāna rahmat-e-'ālam na kyoñ kahe
mehr-o-vafā bhī aap haiñ lutf-o-‘atā bhī aap
majbūr-o-be-navā kī tamanna bhī aap haiñ
mahsūr-e-jabr-o-qahr ke dil kī du'ā bhī aap
kashkol-e-ārzū ko javāhar se bhar diyā
maḳhzan bhī āñ-huzūr haiñ bāb-e-saḳhā bhī aap
'zauqī' ke 'ilm-o-fan kā taqaddus bhī aap haiñ
lauh-e-taḳhaiyyulāt pe harf-e-sanā bhī aap
shamsuzzuha bhi aap hain badrudduja bhi aap
aaina-e-shu'ur ke ruKH ki jila bhi aap
dhupon ki rahguzar mein abr-e-karam bhi hain
bahr-e-fana mein sahil-e-mauj-e-baqa bhi aap
qasid bhi jazb-e-qasr bhi maqsad bhi aap hain
manzil bhi rahbar bhi rah-e-kibriya bhi aap
kyunkar na shar-zadon ko mile aap se sukun
KHairul-bashar bhi aap hain KHair-ul-wara bhi aap
kyunkar na farsh-o-‘arsh fazael raqam karen
sarKHail-e-ambiya hain habib-e-KHuda bhi aap
larzan ho kyon na sho'bada-bazon ka har fusun
iman bhi hain yaqin bhi charagh-e-huda bhi aap
shahid agar buraq hai rafraf bhi hai gawah
me'raj-e-rah-rawi ki rah-e-irtiqa bhi aap
subh-e-azal bhi sham-e-abad bhi hai aap se
kal ibtida bhi aap the aaj intiha bhi aap
sara zamana rahmat-e-'alam na kyon kahe
mehr-o-wafa bhi aap hain lutf-o-‘ata bhi aap
majbur-o-be-nawa ki tamanna bhi aap hain
mahsur-e-jabr-o-qahr ke dil ki du'a bhi aap
kashkol-e-arzu ko jawahar se bhar diya
maKHzan bhi aan-huzur hain bab-e-saKHa bhi aap
'zauqi' ke 'ilm-o-fan ka taqaddus bhi aap hain
lauh-e-taKHaiyyulat pe harf-e-sana bhi aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.