sunaun ham-nafas aa tujhko afsana mohammad ka
sunā.ūñ ham-nafas aa tujh ko afsāna mohammad kā
ki dil roz-e-azal hī se hai dīvāna mohammad kā
zamīñ masnad magar parvā na thī kisrā-o-qaisar kī
ta'ālallah ye thā faqr-e-shāhāna mohammad kā
yahāñ kī sarḳhushī par tuur kī be-hoshiyāñ sadqe
ye mai-ḳhāna hai ai muusā vo mai-ḳhāna mohammad kā
'arab kā zarra-zarra aaj tak sarshār-e-vahdat hai
kabhī gardish meñ aaya thā jo paimāna mohammad kā
palaT dī ik nazar meñ jis ne kaayā bazm-e-hastī kī
koī e'jāz thā yā 'azm-e-mardāna mohammad kā
nazar aa.e jo sham'-e-rauza-e-anvar in āñkhoñ ko
lapak kar nazr kar de jaan parvāna mohammad kā
na aañsū aañkh ke thamte na miTtī hai taḌap dil kī
sunā hai jab se in kānoñ ne afsāna mohammad kā
qasam khāte haiñ ahl-e-hosh jis ke 'aql-o-hikmat kī
ḳhudā shāhid vo farzāna hai dīvāna mohammad kā
nashāt-e-har-do-'ālam kā ise hāsil samajh 'mahvī'
'ajab sahbā se hai labrez paimāna mohammad kā
sunaun ham-nafas aa tujh ko afsana mohammad ka
ki dil roz-e-azal hi se hai diwana mohammad ka
zamin masnad magar parwa na thi kisra-o-qaisar ki
ta'alallah ye tha faqr-e-shahana mohammad ka
yahan ki sarKHushi par tur ki be-hoshiyan sadqe
ye mai-KHana hai ai musa wo mai-KHana mohammad ka
'arab ka zarra-zarra aaj tak sarshaar-e-wahdat hai
kabhi gardish mein aaya tha jo paimana mohammad ka
palaT di ek nazar mein jis ne kaya bazm-e-hasti ki
koi e'jaz tha ya 'azm-e-mardana mohammad ka
nazar aae jo sham'-e-rauza-e-anwar in aankhon ko
lapak kar nazr kar de jaan parwana mohammad ka
na aansu aankh ke thamte na miTti hai taDap dil ki
suna hai jab se in kanon ne afsana mohammad ka
qasam khate hain ahl-e-hosh jis ke 'aql-o-hikmat ki
KHuda shahid wo farzana hai diwana mohammad ka
nashat-e-har-do-'alam ka ise hasil samajh 'mahwi'
'ajab sahba se hai labrez paimana mohammad ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.