su-e-hira ko arsh se utra wo husn-e-be-hisab
sū-e-hirā ko 'arsh se utrā vo husn-e-be-hisāb
jis kī misāl be-misāl jis kā javāb lā-javāb
fikr-e-jazā vo kyoñ kareñ jin ko ho tujh se intisāb
ham se gunāhgār bhī tere tufail bāryāb
'aql-o-ḳhirad bhī dang haiñ vahm-o-gumāñ bhī muqtasir
us kā zuhūr bhī naqāb us kā vujūd bhī ġhiyāb
us kī 'ināyatoñ kā bhī koī shumār kyā kare
jis ne hameñ 'atā kiyā saare jahān kā nisāb
ye bhī karam kī baat hai nā't-e-nabī ke baab meñ
ham ne to pesh kar diyā lafzoñ kā apne intiḳhāb
su-e-hira ko 'arsh se utra wo husn-e-be-hisab
jis ki misal be-misal jis ka jawab la-jawab
fikr-e-jaza wo kyon karen jin ko ho tujh se intisab
hum se gunahgar bhi tere tufail baryab
'aql-o-KHirad bhi dang hain wahm-o-guman bhi muqtasir
us ka zuhur bhi naqab us ka wujud bhi ghiyab
us ki 'inayaton ka bhi koi shumar kya kare
jis ne hamein 'ata kiya sare jahan ka nisab
ye bhi karam ki baat hai na't-e-nabi ke bab mein
hum ne to pesh kar diya lafzon ka apne intiKHab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.