tujhse phaili raushni thi chaar-su afkar ki
tujh se phailī raushnī thī chār-sū afkār kī
'ilm kī sham'oñ se tū ne har galī gulzār kī
terī yādoñ se sajī hai har galī har rah-guzar
har qadam par chhā ga.ī haiñ rahmateñ sarkār kī
terī mahfil meñ ḳhudā kī rahmatoñ kā thā nuzūl
terī tā’līmāt se thī raushnī har raah kī
bārgāh-e-ahl-e-dil meñ tū rahā nūr-e-vafā
terī rahmat ne sañvārī zindagānī pyaar kī
tujh se phaili raushni thi chaar-su afkar ki
'ilm ki sham'on se tu ne har gali gulzar ki
teri yaadon se saji hai har gali har rah-guzar
har qadam par chha gai hain rahmaten sarkar ki
teri mahfil mein KHuda ki rahmaton ka tha nuzul
teri ta’limat se thi raushni har rah ki
bargah-e-ahl-e-dil mein tu raha nur-e-wafa
teri rahmat ne sanwari zindagani pyar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.