zaKHmi kiye adu ne mere mustafa ke hath
zaḳhmī kiye 'adū ne mire mustafā ke haath
phir bhī du'ā.eñ dete rahe vo uThā ke haath
jibrīl tum ne haath se mauqa' gañvā diyā
jaanā thā aage thāme hue mustafā ke haath
tāqat kā us kī ab koī andāza kyā kare
jis ne qamar ko toḌ diyā ho hilā ke haath
jab tak na sar kī āñkhoñ se dekhūñ dar-e-rasūl
tab tak ilāhī bāñdh de merī qazā ke haath
maqbūl bārgāh-e-rasūl-e-ḳhudā meñ hoñ
maiñ ne darūd bheje haiñ bād-e-sabā ke haath
jaane se rokegā mujhe ḳhuld-e-barīñ meñ kaun
mahshar meñ sab rahegā mire mustafā ke haath
Tikte nahīñ haiñ paañv hamāre zamīn par
aa.e haiñ un kī jaalī pe jab se lagā ke haath
dozaḳh kī aag jis ko banā degī ko.elā
us ko bhī baḳhshvā.eñge aaqā uThā ke haath
ho jaa.e kab na jaane ishāra rasūl kā
baiThā huuñ 'nūr' is liye apne uThā ke haath
zaKHmi kiye 'adu ne mere mustafa ke hath
phir bhi du'aen dete rahe wo uTha ke hath
jibril tum ne hath se mauqa' ganwa diya
jaana tha aage thame hue mustafa ke hath
taqat ka us ki ab koi andaza kya kare
jis ne qamar ko toD diya ho hila ke hath
jab tak na sar ki aankhon se dekhun dar-e-rasul
tab tak ilahi bandh de meri qaza ke hath
maqbul bargah-e-rasul-e-KHuda mein hon
main ne darud bheje hain baad-e-saba ke hath
jaane se rokega mujhe KHuld-e-barin mein kaun
mahshar mein sab rahega mere mustafa ke hath
Tikte nahin hain panw hamare zamin par
aae hain un ki jali pe jab se laga ke hath
dozaKH ki aag jis ko bana degi koela
us ko bhi baKHshwaenge aaqa uTha ke hath
ho jae kab na jaane ishaara rasul ka
baiTha hun 'nur' is liye apne uTha ke hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.