bahaar
bahaar
do mausamo.n ke biich
rang-birangii titliyo.n kaa raqs hai
ye 'aks hai
bahte shaffaaf paanii pe tairtii zindagii kaa
aur KHushii kaa
aur multavii kar dii ga.ii KHud-kushii kaa
ye zaKHmii KHabar kaa marham hai
KHudaa kaa karam hai
bahaar
date par jaatii la.Dkiyo.n ke liye phuulo.n kaa bandobast hai
ye atomii miizaa.ilo.n ko shikast hai
aur dahshat aur intiqaam ke mu.nh par mohabbat kaa go.nd hai
bahaar
KHuun-aaluud zamiino.n par baarish kii pahlii buu.nd hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.