ka.ii roz se
siine kii baa.ii.n jaanib dard uThtaa hai
chand aTaktii saa.nse.n nikaalne kii mashaqqat ke baa'd
mai.n
ik gahrii saa.ns lete hu.e
calender me.n na.e din kaa izaafa kar detii huu.n
bachpan se
ek be-‘umra dukh
chaa.nd aur saa.e kii tarah mere saath chal rahaa hai
chuu.Diyo.n kii khanak ke kahii.n piichhe
Daar se bichh.Dii
kuu.nj kii kuuk sunaa.ii detii hai
aashnaa.ii ke
be-fikr avaa.il din nahii.n jaan paate
ki
un kii parto.n me.n chhupii ajnabiyyat kii
KHaamosh
aur kaThor tanhaa raato.n me.n
sa.Dko.n kii baa.nho.n me.n niim-daraaz faasle
siine me.n ghus aate hai.n
siine me.n uThtaa dard
kuu.nj kii kuuk me.n bhaTaktii yaade.n
aur faasle mil kar ek hayuulaa banaa dete hai.n
jise pahchaan.ne kii koshish me.n naakaam ho kar
har saal kii aaKHirii raat se kuchh der pahle
mai.n
thake suuraj ke pahluu me.n leTe
na.e din banaatii huu.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.