Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn-e-haadsa

Tauheed Zeb

husn-e-haadsa

Tauheed Zeb

MORE BYTauheed Zeb

    tamaashaa-gar KHudaa nahii.n magar vo jaantaa hai kapkapaahaTo.n ke daam

    siskiyo.n kaa ehtimaam

    aur sabr kaa nizaam

    so agar tamaash-biin kursiyo.n ke darmiyaa.n kahii.n

    sahaaraa Dhuu.nDne lage.n to vo

    baGal se ek haadsa nikaal kar uchhaal detaa hai

    tamaash-biin dil jigar tamaam

    thaam kar

    nazar se iztiraab po.nchh lete hai.n

    kahaanii chal nikaltii hai

    kahaaniyo.n ke biich haadsa samundarii jahaaz kii tarah bikhar bikhar ke chaltaa hai

    'ajab nahii.n ye daftar-e-kaa.inaat kaa chalan

    tamaashaa-gar kaa peT haadso.n se paltaa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now