lau pha.Dpha.Daatii rahii
zindagii kii dark theme jab tumhe.n chun letii hai
barso.n hostels kii khi.Dkii me.n kha.De guzar jaate hai.n
KHabre.n tumhaare pate pe naako.n se guzar ke aatii hai.n
kabhii ko.ii pyaaraa chalaa kabhii ko.ii
armaan karne ko tumhaare paas hotii hai.n phaTii aa.nkhe.n
aise haath jo lams kii pahchaan kho chuke hai.n
vo jism jo KHuun nahii.n rakhtaa jis se bachaa sako kisii ko
na aisaa blood group jo naayaab hai
phir ek din vo shiisha bhii haath khii.nch letaa hai
jis pe kisii bhuule lamhe ne tumhaarii shakl utaarii thii
chaTaKHte badan ke saath bach jaane vaalaa zombie
vahii tum ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.