mai.n is liye bhii tumhe.n nahii.n bhulaa paataa
mai.n is liye bhii tumhe.n nahii.n bhulaa paataa
ki
mujhe tumhaarii yaad dilaatii hai
har vo chiiz jo hasiin hotii hai
mujhe yaad aatii hai tumhaarii daraaz-qaamat
jab mai.n dekhtaa huu.n
sanobar ke daraKHto.n ko
buland-o-baalaa pahaa.Do.n ko
aur uu.nchii fasiilo.n ko
sitaaro.n kii chamak
tumhaarii aa.nkho.n kii yaad dilaatii hai
aur gulaab mujhe tumhaare ho.nT yaad dilaate hai.n
mujhe yaad aataa hai tumhaaraa hasiin chehra
jab mujhe chaa.nd nazar aataa hai
havaa.o.n kii dhiimii sii aavaaze.n
mujhe tumhaarii saa.nso.n kii aavaaz yaad dilaatii hai.n
mai.n is liye bhii tumhe.n nahii.n bhulaa paataa
ki
har shai me.n tum ho yaa phir tum hii har shai ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.