mai.n vahaa.n maqaamii thaa
mai.n rango.n se kheltaa
baarisho.n se mu.nh dhotaa
miTTii se paak hotaa
rang mai.n ne miTTii se liyaa
aa.nkhe.n jame baadalo.n se
aavaaz ka.nvaariyo.n ke qahqaho.n se
ho.nT mere ek 'aurat ke chuumne se bane
mai.n vahaa.n kaa baashinda thaa
jaise patthar me.n phuul khiltaa hai
jaise zamiin par mazbuut paa.nv pa.Dte hai.n
jaise paanii me.n machhlii tairtii hai
us miTTii me.n jazb hotaa hu.aa
apne maahaul se fitrii phuuTaa hu.aa
vahaa.n kii har shai se merii shakl miltii thii
vahaa.n kii har shai me.n mai.n chhup jaataa
ek biij kii tarah patthar se nikaltaa hu.aa
ek phuul kii tarah shaaKH par khiltaa hu.aa
ek pahaa.D kii tarah zamiin pe jam' hu.aa
meraa naam maqaamii thaa
mai.n maqaamii bolii boltaa
parindo.n se baate.n kartaa
kavvo.n ko ha.nsii sikhaataa
aur ek maqaamii 'aurat kii adaa.o.n pe qurbaan ho jaataa
kisii ko haq nahii.n ek maqaamii mard ke sivaa us 'aurat ko chaahe
vo nahii.n samajh sakegaa
us ke ho.nT moTe kyo.n hai.n
us kaa rang siyaah kaisaa hai
us kii ha.nsii me.n kin parindo.n kii jal-tarang hai.n
ko.ii bhii ajnabii chaahe jaane kii jald-baazii me.n maaraa jaa saktaa hai
maqaamii mere saath thii sardiyo.n kii dhundh
maqaamii mere saath thii monsoon kii baarish
maqaamii mere saath thii garmiyo.n kii luu
maqaamii mere saath thii kiikar kii chhaa.nv
suuraj meraa badan jalaataa nahii.n thaa
dhundh mere raste me.n rukaavaT nahii.n thii
mujhe ehsaas rahtaa baarish kab barsegii
kab suuraj Dhalkegaa
aur kab dhundh me.n apnii mahbuub 'aurat se milne jaanaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.