mere kaa.ndho.n pe
mere kaa.ndho.n pe
mere aa'saab kii banaa.ii
ek 'imaarat kaa bojh thaa
ye 'imaarat mere vujuud me.n
kisii jumuud mahal se 'ibaarat thii
jis kii fasiile.n mere gumaa.n me.n aahanii thii.n
jin pe masnuu'ii sukuut ke aaseb kaa saaya thaa
mai.n ik mauj-e-be-karaa.n kii maanind
aage ko ba.Dh rahii thii
jabki meraa vujuud
us kii dhaaraa pe ulTaa bahtaa thaa
mai.n KHush thii
haa.n shaayad KHush hii
ki mere andar kii an-kahii vahshat
iz.haar kii tamaam dastako.n se maavaraa
kahii.n muqaffal kivaa.Do.n ke piichhe
dam ghuTne se halaak ho chukii hai
ki mere andar kii an-sunii chiiKHe.n
samaa'ato.n kii tamaam tadbiiro.n se bahra-var
maslahat ke ziino.n tale
kab kii dafn ho chukii hai.n
magar
tum se ye mulaaqaat
mujh par goyaa
haadse kii maanind guzrii hai
saaniha apnii juun me.n
kamaal kaa hu.aa hai
maut pe merii janm
KHayaal kaa hu.aa hai
jumuud-mahal ab
aavaazo.n kaa kha.nDar hai
jis kii aa.iina aa.nkho.n me.n
merii vahshat ke 'aks naachte hai.n
sukuut kaa aaseb ab
kisii nihaa.n-KHaane me.n malbe-andar
apne hone kii daliil me.n
khokhle qahqahe lagaataa hai
aur manzar mujh pe ha.nstaa hai
mere kaa.ndho.n pe
mere aa'saab kii banaa.ii
ek 'imaarat kaa bojh thaa
ye 'imaarat mere vujuud me.n
kisii jumuud mahal se 'ibaarat thii
jis kii fasiile.n mere gumaa.n me.n aahanii thii.n
jin pe masnuu'ii sukuut ke aaseb kaa saaya thaa
mai.n ik mauj-e-be-karaa.n kii maanind
aage ko ba.Dh rahii thii
jabki meraa vujuud
us kii dhaaraa pe ulTaa bahtaa thaa
mai.n KHush thii
haa.n shaayad KHush hii
ki mere andar kii an-kahii vahshat
iz.haar kii tamaam dastako.n se maavaraa
kahii.n muqaffal kivaa.Do.n ke piichhe
dam ghuTne se halaak ho chukii hai
ki mere andar kii an-sunii chiiKHe.n
samaa'ato.n kii tamaam tadbiiro.n se bahra-var
maslahat ke ziino.n tale
kab kii dafn ho chukii hai.n
magar
tum se ye mulaaqaat
mujh par goyaa
haadse kii maanind guzrii hai
saaniha apnii juun me.n
kamaal kaa hu.aa hai
maut pe merii janm
KHayaal kaa hu.aa hai
jumuud-mahal ab
aavaazo.n kaa kha.nDar hai
jis kii aa.iina aa.nkho.n me.n
merii vahshat ke 'aks naachte hai.n
sukuut kaa aaseb ab
kisii nihaa.n-KHaane me.n malbe-andar
apne hone kii daliil me.n
khokhle qahqahe lagaataa hai
aur manzar mujh pe ha.nstaa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.