nazm
sho'la-e-aatish me.n kitne raaz pinhaa.n hai.n
kabhii is me.n hame.n apnii hii suurat dikhaa.ii detii hai
nii.nd bhii ik raaz hai
kyuu.nki nii.nd me.n insaan u.Dne lagtaa hai
chaa.nd hamesha se pur-asraar rahaa hai
aur dhu.e.n se bharii dukaan me.n
chhalaktaa hu.aa jaam
hamesha sabhii ke liye ik raaz rahaa
logo.n me.n itnaa farq kyo.n hotaa hai
ye bhii ik raaz hai sadiyo.n se
insaan mahv-e-hairat hai un raushan ibaarato.n par
jo hamaare asaatiza chho.D ga.e hai.n shaa'ir aur naaseh
mohabbat me.n karam me.n Gaiz me.n nafrat me.n
sabhii me.n kuchh raaz pinhaa.n hai.n
numuu me.n fanaa me.n hame.n unhii.n kii diid hu.ii hai
hamaare jism me.n hamaarii ruuh me.n unhii.n kaa Deraa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.