nazm
nazm baadalo.n kii tarah hai
vo pahle gahre hote hai.n phir baraste hai.n
nazm machhlii kii tarah hai
agar us ko usii vaqt na likho to vo gahre paanii me.n chalii jaatii hai
nazm 'aurat kii tarah hai
agar us ko usii vaqt dekho jab vo aap kii taraf dekh rahii ho
to vo ghabraa ke nazre.n jhukaa letii hai
nazm parinde kii tarah hai
agar use qariib se dekhne kii koshish karo
vo u.D ke diivaar pe baiTh jaataa hai
nazm bachche kii tarah hai
vo ruuh kii sachchaa.ii ke saath saamne aatii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.