Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

octopus

MORE BYQamar Abbas Alvi

    mere paas dosto.n kii lambii chau.Dii qataar nahii.n

    aur agar sach kahuu.n to is kii zaruurat bhii nahii.n

    sirf chand haath hai.n jo bure vaqt me.n mere aa.nsuu po.nchhte hai.n

    aur achchhe vaqt me.n mai.n unhe.n chuum letaa huu.n

    zinda rahne ko is se sivaa kyaa chaahiye

    meraa chhoTaa saa ghar TuuTtii ju.Dtii chiizo.n kaa mutahammil nahii.n

    do chaar puraanii kitaabe.n kuchh KHvaab

    aur chamaktii hu.ii do aa.nkhe.n jo KHvaabo.n kii tarah laa-mutanaahii hai.n

    mujhe kaafii hai.n

    din me.n kitaab pa.Dhtaa huu.n aur raat me.n KHvaab dekhtaa huu.n

    in aa.nkho.n ke KHvaab

    jo khulii kitaab aur chashme ke paanii kii tarah shaffaaf hote hu.e bhii behad gahrii hai.n

    maut un ke saamne hech lagtii hai

    mai.n zindagii se octopus kii tarah chimTe rahnaa chaahtaa huu.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now