qadiim chiize.n
mere paas solah saal puraanaa account hai
pa.ndrah saal puraanii bike
tiis saal puraanaa ghar
bachpan se pa.Daa pur-tajassus dil
aur mere paas mere dil se bhii puraanii ruuh hai
dil pe ek bande kaa iKHtiyaar hotaa hai
jabki ruuh sab kii mushtarak hotii hai
jab mai.n kahtaa huu.n tum merii ruuh ho to tum sab insaano.n kaa mushtarka virsa ban jaatii ho
ikaTThii chiiz pe sab kaa haq hotaa hai
is me.n se kabhii bhii ko.ii bol pa.Dtaa hai
jamhuuriyat me.n sab ko sun.naa pa.Dtaa hai
insaan ek herd kii tarah aage ba.Dhaa hai
akelaa aadmii kahii.n bhii shikaar ho saktaa hai
merii ruuh tab banii thii
jab raushnii ne ek gadlaa.e zarre me.n jhaa.nkaa thaa
aag KHaak gard me.n lipTaa vo zarra
taaza taaza kisii aasmaanii chaTaan se TuuTaa thaa
aur laa-vaaris bachche kii tarah apnaa.e jaane kaa muntazir thaa
raushnii ne us ke andar jhaa.nkaa
aur ruuh ne baraabar jagah banaa lii
yaa us ne vo jagah us ke liye KHaalii kar dii
jaise ek bus me.n baiThne ke liye ko.ii seat KHaalii kar detaa hai
tab se sabhii ruuh me.n chale aate hai.n
meraa jism ek bus me.n hai jis me.n har 'ilaaqe kii savaarii baiThii hai
jism thak haar ke ruk jaataa hai vo duusrii bus me.n baiTh jaate hai.n
vo utarte nahii.n aur safar chaltaa rahtaa hai
mere paas ek qadiim dil hai jo mai.n bus me.n baiThii ek la.Dkii ko de aayaa thaa
vo apne baap ke saath apne stop pe utar ga.ii thii
albatta mai.n bus me.n baiThe baiThe us ke ghar tak chaltaa gayaa
ye kaafii qadiim baat hai use ye baat bhuul ga.ii hogii
kyo.n ki merii ruuh qadiim ruuh hai is liye mujh me.n ko.ii bol pa.Dtaa hai
un ke bolne kaa ko.ii Time nahii.n yaa vo jahaa.n hai.n un kaa Time ham se muKHtalif hai
jaise jab mai.n so rahaa huu.n vahaa.n din hotaa hai
nii.nd me.n bhii mai.n dekh saktaa huu.n dhuup me.n lith.Daa ek din
sar jhukaa.e bhaarii qadam letii vo la.Dkii
bus us se phisaltii duur jaa rahii thii
mere paas us kaa qadiim dil hai jo merii yaad se phislaa jaa rahaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.