raat se jaagaa shaKHs
raat ek 'aurat ke saath sonaa
so na paanaa
us ke ho.nTo.n ko chuumnaa
chuum na saknaa
use usii barahna haalat me.n chho.D ke
ek nazm ko idhar udhar bhaTakte dekh lenaa
use apne saath sulaa lenaa
sulaane se pahle use achchhii tarah likh lenaa
ki naa-mukammal nazm nii.nd me.n jaag jaatii hai
us 'aurat kii tarah
jise us ke parTner ne mohabbat se chuumaa na ho
nii.nd me.n KHvaab dekhnaa
aur us KHvaab me.n bhuule chehre dekhnaa
mare hu.e insaano.n se milnaa
maafauqul-fitrat jaanvaro.n ke saayo.n ke piichhe dau.Dnaa
dau.Dte rahnaa
un KHaamosh jag.ho.n pe jaanaa
jahaa.n nii.nd saa naajiyaa ho
aur un saayo.n ko apnii taraf aate dekh kar
bhaarii qadmo.n ke saath ulTe paa.nv dau.Dnaa
lekin dau.D na paanaa
kisii vahshii darinde ke haath lagne se zaraa der pahle
jaag jaanaa
is tarah jaag jaanaa jiine kii KHush-KHabarii nahii.n hai
TuuTii nii.nd kaa Dar raat se jaagaa shaKHs jaantaa hai
TuuTii nii.nd us jaanvar kii tarah bidak ga.ii hai
jo qasaa.ii kii chhurii ke niiche se bhaag jaataa hai
TuuTii nii.nd ghar se bhaagii la.Dkii kii tarah
vaapas nahii.n aa.egii
vo bhaa.iyo.n ke Dar se vaapas nahii.n aa.egii
TuuTii nii.nd school se dau.De bachche kii tarah vaapas nahii.n aa.egii
vo ustaad ke Dar se vaapas nahii.n aa.egii
TuuTii nii.nd haath se phislii machhlii
saa.ns se TuuTii zindagii kii tarah vaapas nahii.n aa.egii
vo maut ke Dar se vaapas nahii.n aa.egii

sub.h-dam insaan nahii.n hotaa
sub.h us ke liye sub.h nahii.n hotii
din us ke liye din nahii.n hotaa
TuuTii nii.nd se jaagaa shaKHs ek bhuut hai
jo din ko apne KHauf se Daraataa hai aur KHud raat se Dartaa hai
vo zinda salaamat kabhii so nahii.n paa.egaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.