tanhaa.ii aur bhuuk
mai.n tanhaa.ii se ghabraa ke tumhaare paas aayaa thaa
do akele insaan jibillat ko shikast de sakte hai.n
bhuukaa darinda duusre ko khaa saktaa hai
par phir vo akelaa rah jaa.egaa
bhuuk aur tanhaa.ii me.n se kisii ek ko chun.naa pa.De
to tum kis ko chunoge
akelaa insaan bhuuk me.n KHud ko khaataa hai
ye self eating disorder hai
kitne jaanvar is tarah kitnaa 'arsa zinda rah sakte hai.n
ham sab KHud ko kaafii had tak khaa chuke hai.n
ham sab aadhe rah chuke hai.n
aadhe bhii ham bhuuk aur tanhaa.ii me.n taqsiim hai.n
ham maziid suka.Dte jaa rahe hai.n
zinda rahne ke liye khaanaa kyo.n zaruurii thaa
mujhe is saffaak taqsiim kii samajh nahii.n aa.ii
jahaa.n har ko.ii duusre ko khaa kar zinda hai
ek din log itne hassaas ho jaa.e.nge
ki vo kisii ko khaa nahii.n paa.e.nge
insaan bhuuk se nahii.n bezaarii se fanaa ho.nge

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.