thakaa hu.aa dariyaa
baahar dekho kaun maraa hai
zaraa ruk jaa.o
goliyo.n ko ruk jaane do
barastii baarish aur chaltii goliyo.n ke darmiyaan baahar nahii.n nikalnaa chaahiye
na hii baahar nikalnaa chaahiye
jab ko.ii mar rahaa ho
ham us manzar kii taab nahii.n laa sakte
na gavaahii de sakte hai.n
judge ke saamne
na judge ko achchhaa lagtaa hai ki sach ek dam saamne aa.e
yaa qaatil faurii pak.Daa jaa.e
yaa maqtuul kii postmortem report aa jaa.e
sab kuchh rafta rafta honaa chaahiye
hujuum kaa Gussa ek notice se ThanDaa ho jaa.egaa
ghar logo.n se KHaalii hai.n
log sa.Dko.n ko ghar nahii.n kah sakte
dar-badarii safar nahii.n hai
vaqt aur laash ko ThanDaa hone do
dariyaa ko apnaa raasta lene do
use guzarne do
dariyaa ke kandho.n pe das laakh cusec kaa relaa hai
vo phe.nk aa.egaa samundar me.n
pahaa.Do.n kii baarishe.n
goliyo.n kaa relaa
guzre saal kii borii-band laash
aur thakan se chuur apne kandhe
baahar dekho kaun maraa hai
zaraa ruk jaa.o
goliyo.n ko ruk jaane do
barastii baarish aur chaltii goliyo.n ke darmiyaan baahar nahii.n nikalnaa chaahiye
na hii baahar nikalnaa chaahiye
jab ko.ii mar rahaa ho
ham us manzar kii taab nahii.n laa sakte
na gavaahii de sakte hai.n
judge ke saamne
na judge ko achchhaa lagtaa hai ki sach ek dam saamne aa.e
yaa qaatil faurii pak.Daa jaa.e
yaa maqtuul kii postmortem report aa jaa.e
sab kuchh rafta rafta honaa chaahiye
hujuum kaa Gussa ek notice se ThanDaa ho jaa.egaa
ghar logo.n se KHaalii hai.n
log sa.Dko.n ko ghar nahii.n kah sakte
dar-badarii safar nahii.n hai
vaqt aur laash ko ThanDaa hone do
dariyaa ko apnaa raasta lene do
use guzarne do
dariyaa ke kandho.n pe das laakh cusec kaa relaa hai
vo phe.nk aa.egaa samundar me.n
pahaa.Do.n kii baarishe.n
goliyo.n kaa relaa
guzre saal kii borii-band laash
aur thakan se chuur apne kandhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.