vabaa ke roz
ha.nsii us kii aa.nkho.n se kashiid kii ga.ii thii
clone us ke ishaaro.n pe banaa.e ga.e
intizaar-gaah caffeine kii miqdaar ba.Dhaa rahii hai
ye 'ibaaratii mausam hai
march laa-zavaal zaKHmo.n kaa roz-e-avval se intiKHaab rahaa hai
vabaa kii rut har siimaa paar kar chukii hai
hostel KHaalii ho chukaa hai ‘avaamii gaa.Diyo.n me.n bhii.D haath kii jagah nahii.n de rahii
bas ke zanaan-KHaane me.n farsh pe baiThii ghar kii taraf gaamzan
vo surKH scarf se parda-kunaa.n shahr chho.D ke jaa rahii hai
hujjat kii muddat KHabar nahii.n kahaa.n rukegii
pe.D paudo.n pe laalii chhaa chukii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.