Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

la-yaKHul

Tahseen Firaqi

la-yaKHul

Tahseen Firaqi

MORE BYTahseen Firaqi

    1

    mirī ḳhalvat ke haale meñ tumhārā ye tilsmātī badan

    ik nuur meñ Duubā huā bahtā huā dhārā

    ye madh-mātā ye ḳhud ko sar-ba-sar bhūlā huā

    behad nirālā an-chhuā saayā

    havā ke narm so.e so.e lahje tarah mas ho ke

    merī ruuh meñ ātish bhaḌkātā huā saayā

    ye saayā raushnī raushnī hai sar se paañv tak

    ye saayā zindagī zindagī hai sar se paañv tak

    ye vasl-e-tām lamha vo lamha hai

    ki jab ḳhud vaqt ruk jaatā hai

    jaise shaam ko dariyā bhī ruk kar ḳhud farāmoshī ke gahre saañs lete haiñ

    2

    udhar jab vaqt sayyāl dhārā

    ek do lamhoñ ko ruktā hai

    na jaane kyuuñ mire andar lahū tez-tar ho kar

    harīm-e-dil dīvāroñ se apnā sar paTaktā hai

    ye pīr-e-rome ke marqad pe raqsāñ

    un ḳhudā-āgāh durveshoñ sūrat raqs kartā hai

    jinheñ ḳhud apne tan-man koī sudh-budh nahīñ rahtī

    vo sar-tā-pā faqat rūh-e-tām tamsīl lagte haiñ

    kisī aise abad lamhe meñ jism-o-jāñ is vahdat koī naam to hogā

    sarāpā raqs us hālat-e-be-nām anjām to hogā

    tumhī bolo ki us naam kyā anjām kyā hai

    haañ tumhī bolo girah kholo

    1

    meri KHalwat ke haale mein tumhaara ye tilsmati badan

    ek nur mein Duba hua bahta hua dhaara

    ye madh-mata ye KHud ko sar-ba-sar bhula hua

    behad nirala an-chhua saya

    hawa ke narm soe soe lahje ki tarah mas ho ke

    meri ruh mein aatish ka bhaDkata hua saya

    ye saya raushni hi raushni hai sar se panw tak

    ye saya zindagi hi zindagi hai sar se panw tak

    ye wasl-e-tam ka lamha wo lamha hai

    ki jab KHud waqt ruk jata hai

    jaise sham ko dariya bhi ruk kar KHud faramoshi ke gahre sans lete hain

    2

    udhar jab waqt ka sayyal dhaara

    ek do lamhon ko rukta hai

    na jaane kyun mere andar lahu ka tez-tar ho kar

    harim-e-dil ki diwaron se apna sar paTakta hai

    ye pir-e-rome ke marqad pe raqsan

    un KHuda-agah durweshon ki surat raqs karta hai

    jinhen KHud apne tan-man ki koi sudh-budh nahin rahti

    wo sar-ta-pa faqat ruh-e-tam ki tamsil lagte hain

    kisi aise abad lamhe mein jism-o-jaan ki is wahdat ka koi nam to hoga

    sarapa raqs ki us haalat-e-be-nam ka anjam to hoga

    tumhi bolo ki us ka nam kya anjam kya hai

    han tumhi bolo girah kholo

    Source :
    • Book : Shaikh-e-Zaryab (Pg. 90)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now