Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek raat safed gulabon wale talab ke pas

Tabassum Kashmiri

ek raat safed gulabon wale talab ke pas

Tabassum Kashmiri

MORE BYTabassum Kashmiri

    vo ek shab thī safed gulāboñ vaale tālāb ke bilkul nazdīk

    bādaloñ pahlī aahaT par

    us ne rakh diye hoñT hoñToñ par

    mausīqī titlī giit gaane lagī

    us ke sāñsoñ ke ās-pās

    us ḳhushbuoñ ke ghuñghrū

    baj rahe the us shab

    huā safed gulābī chhatoñ par

    vo umaD rahī thī

    ek tez samundarī lahr tarah

    vo jism par naqsh ho rahī thī

    titliyoñ se bhare hue ek ḳhvāb tarah

    vo ek shab safed gulāboñ vaale tālāb ke bilkul nazdīk

    shab-bhar bādaloñ halkī aur tez āhaTeñ

    aur shab-bhar

    hoñT hoñToñ par

    saañs sāñsoñ par

    aur jism jism safed gulābī chhatoñ par

    wo ek shab thi safed gulabon wale talab ke bilkul nazdik

    baadalon ki pahli aahaT par

    us ne rakh diye honT honTon par

    mausiqi ki titli git gane lagi

    us ke sanson ke aas-pas

    us ki KHushbuon ke ghunghru

    baj rahe the us shab

    hua ki safed gulabi chhaton par

    wo umaD rahi thi

    ek tez samundari lahr ki tarah

    wo jism par naqsh ho rahi thi

    titliyon se bhare hue ek KHwab ki tarah

    wo ek shab safed gulabon wale talab ke bilkul nazdik

    shab-bhar baadalon ki halki aur tez aahaTen

    aur shab-bhar

    honT honTon par

    sans sanson par

    aur jism jism ki safed gulabi chhaton par

    Source:

    Prindey,phool taalab (Pg. 437)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now