Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj ki baat

Zehra Nigaah

aaj ki baat

Zehra Nigaah

MORE BYZehra Nigaah

    aaj baat na.ī baat nahīñ hai aisī

    jab kabhī dil se koī guzrā hai yaad aa.ī hai

    sirf dil ne nahīñ god meñ ḳhāmoshī

    pyaar baat to har lamhe ne dohrā.ī hai

    chupke chupke chaTakne do ishāroñ ke gulāb

    dhīme dhīme sulagne do taqāzoñ ke alāv!

    rafta rafta chhalakne do adāoñ sharāb

    dhīre dhīre nigāhoñ ke ḳhazāne bikhrāo

    baat achchhī ho to sab yaad kiyā karte haiñ

    kaam suljhā ho to rah rah ke ḳhayāl aatā hai

    dard mīThā ho to ruk ruk ke kasak hotī hai

    yaad gahrī ho to tham tham ke qarār aatā hai

    dil guzargāh hai āhista-ḳhirāmī ke liye

    tez-gāmī ko jo apnāo to kho jāoge

    ik zarā der palkoñ ko jhapak lene do

    is qadar ġhaur se dekhoge to so jāoge

    aaj ki baat nai baat nahin hai aisi

    jab kabhi dil se koi guzra hai yaad aai hai

    sirf dil hi ne nahin god mein KHamoshi ki

    pyar ki baat to har lamhe ne dohrai hai

    chupke chupke hi chaTakne do ishaaron ke gulab

    dhime dhime hi sulagne do taqazon ke alaw!

    rafta rafta hi chhalakne do adaon ki sharab

    dhire dhire hi nigahon ke KHazane bikhrao

    baat achchhi ho to sab yaad kiya karte hain

    kaam suljha ho to rah rah ke KHayal aata hai

    dard miTha ho to ruk ruk ke kasak hoti hai

    yaad gahri ho to tham tham ke qarar aata hai

    dil guzargah hai aahista-KHirami ke liye

    tez-gami ko jo apnao to kho jaoge

    ek zara der hi palkon ko jhapak lene do

    is qadar ghaur se dekhoge to so jaoge

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Radhika Chopra

    Radhika Chopra

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    aaj ki baat Azra Naqvi

    Source:

    sham ka pahla tara (Pg. 106)

    • Author: Zehra Nigah
      • Edition: 1980
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now