Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aamad-e-sal-e-nau aur bad-nasib hindi

Aaftab Rais Panipati

aamad-e-sal-e-nau aur bad-nasib hindi

Aaftab Rais Panipati

MORE BYAaftab Rais Panipati

    aamad hai sāl-e-nau samāñ hai bahār

    sarsabz gulistāñ hai dil-e-dāġh-dār

    ishq-e-vatan meñ āshiq-e-sādiq hai jāñ-ba-lab

    kyā haal pūchhte ho ġharīb-ud-dayār

    yārab kaheñge kis tarah ham bekasoñ ke din

    yaad aayā hai qafas meñ zamāna bahār

    yuuñ ashk-e-ġham Tapakte haiñ āñkhoñ se qaum

    mumkin nahīñ hai TūTnā ashkoñ ke taar

    ik baar qatl-e-ām karo teġh-e-zulm se

    achchhā nahīñ hai jaur-o-sitam baar baar

    ai māder-e-vatan ke sapūto baḌhe chalo

    ye aaj ho rahā hai ishāra bahār

    qātil ko naaz quvvat-e-bāzū pe hai agar

    mazlūm ko bharosā hai parvardigār

    ai māder-e-vatan zarā dast-e-duā uThā

    maqtal meñ imtihāñ hai tire ġham-gusār

    girgiT tarah rañg badaltā hai dam-ba-dam

    kyā e'tibār ġhair ke qaul-o-qarār

    aġhyār se karam tavaqqo fuzūl hai

    arsa guzar chukā hai bahut intizār

    ai 'āftāb' dahr shikva hai kyoñ tujhe

    hotā nahīñ hai koī dil-e-be-qarār

    aamad hai sal-e-nau ki saman hai bahaar ka

    sarsabz gulistan hai dil-e-dagh-dar ka

    ishq-e-watan mein aashiq-e-sadiq hai jaan-ba-lab

    kya haal puchhte ho gharib-ud-dayar ka

    yarab kahenge kis tarah hum bekason ke din

    yaad aaya hai qafas mein zamana bahaar ka

    yun ashk-e-gham Tapakte hain aankhon se qaum ki

    mumkin nahin hai TuTna ashkon ke tar ka

    ek bar qatl-e-am karo tegh-e-zulm se

    achchha nahin hai jaur-o-sitam bar bar ka

    ai mader-e-watan ke saputo baDhe chalo

    ye aaj ho raha hai ishaara bahaar ka

    qatil ko naz quwwat-e-bazu pe hai agar

    mazlum ko bharosa hai parwardigar ka

    ai mader-e-watan zara dast-e-dua uTha

    maqtal mein imtihan hai tere gham-gusar ka

    girgiT ki tarah rang badalta hai dam-ba-dam

    kya e'tibar ghair ke qaul-o-qarar ka

    aghyar se karam ki tawaqqo fuzul hai

    arsa guzar chuka hai bahut intizar ka

    ai 'aftab' dahr ka shikwa hai kyon tujhe

    hota nahin hai koi dil-e-be-qarar ka

    Source:

    Aaftab-e-Watan (Pg. 40)

    • Author: Aaftab Rais Panipati
      • Year of Publication: 1931
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now