aandhi aai
khiḌkī khaḌke khaḌ khaḌ khaḌ
darvāza bhī dhaḌ dhaḌ dhaḌ
sab ne kyā hai dhuum machā.ī
o ho ho kyā āñdhī aa.ī
murġhī Dar ke dubak ga.ī hai
maano bhī to sahmī sī hai
Dabbū ne bhī lī añgḌā.ī
o ho ho kyā āñdhī aa.ī
bikhre mūñgphalī ke chhilke
girī udhar thī laDDū til ke
raqs kare anmol jamā.ī
o ho ho kyā āñdhī aa.ī
bijlī band huī hai fauran
paḌā kahāñ thā merā chūran
DhūñDo jā ke diyā-salā.ī
o ho ho kyā āñdhī aa.ī
uTh ga.e ghoḌe bech ke so.e
ammī ne the aaj hī dho.e
baajī jhaT se kapḌe laa.ī
o ho ho kyā āñdhī aa.ī
paḌā rahe na khānā koī
dekh ke aanā zarā rasoī
Dhāñp ke rakh dī hai bālā.ī
o ho ho kyā āñdhī aa.ī
saaf kiyā kal us ne apnā
band kiyā ab fauran kamra
phurtī arsal ne dikhlā.ī
o ho ho kyā āñdhī aa.ī
dekh rahe the sab hī jalva
maze kā thā gājar kā halva
baḌī fikr meñ thā halvā.ī
o ho ho kyā āñdhī aa.ī
ḳhaak huī hai har shai saarī
dekho kitnī der se jaarī
DeḌh bajā thā ab haiñ Dhaa.ī
o ho ho kyā āñdhī aa.ī
dhuup meñ thī ye ka.ī dinoñ se
ham bachchoñ ne saath hī mil ke
khaT khaT kartī khaaT utrā.ī
o ho ho kyā āñdhī aa.ī
ghar ghar ghar ghar bādal bole
paḌne lage haiñ shāyad ole
'yāsir' saath ye tohfa laa.ī
o ho ho kyā āñdhī aa.ī
khiDki khaDke khaD khaD khaD
darwaza bhi dhaD dhaD dhaD
sab ne kya hai dhum machai
o ho ho kya aandhi aai
murghi Dar ke dubak gai hai
mano bhi to sahmi si hai
Dabbu ne bhi li angDai
o ho ho kya aandhi aai
bikhre mungphali ke chhilke
giri udhar thi laDDu til ke
raqs kare anmol jamai
o ho ho kya aandhi aai
bijli band hui hai fauran
paDa kahan tha mera churan
DhunDo ja ke diya-salai
o ho ho kya aandhi aai
uTh gae ghoDe bech ke soe
ammi ne the aaj hi dhoe
baji jhaT se kapDe lai
o ho ho kya aandhi aai
paDa rahe na khana koi
dekh ke aana zara rasoi
Dhanp ke rakh di hai baalai
o ho ho kya aandhi aai
saf kiya kal us ne apna
band kiya ab fauran kamra
phurti arsal ne dikhlai
o ho ho kya aandhi aai
dekh rahe the sab hi jalwa
maze ka tha gajar ka halwa
baDi fikr mein tha halwai
o ho ho kya aandhi aai
KHak hui hai har shai sari
dekho kitni der se jari
DeDh baja tha ab hain Dhai
o ho ho kya aandhi aai
dhup mein thi ye kai dinon se
hum bachchon ne sath hi mil ke
khaT khaT karti khaT utrai
o ho ho kya aandhi aai
ghar ghar ghar ghar baadal bole
paDne lage hain shayad ole
'yasir' sath ye tohfa lai
o ho ho kya aandhi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.