Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aane wali subh ki baaten

Salahuddin Mohammad

aane wali subh ki baaten

Salahuddin Mohammad

MORE BYSalahuddin Mohammad

    Interesting Fact

    (Naqsh, Karachi, January-February 1973)

    go mere dil meñ

    aur ufuq laalī meñ

    hai rishta pyaar

    phir bhī ham

    reg-e-bayābāñ meñ is se

    maqtal ke sivā kyā apnā.eñ

    ye ret jigar goshe sūraj ke

    jaane kab

    kis aane vaale aalam meñ

    phir lāla-o-gul ban kar nikhreñ

    aur duur ufuq laalī ke ham-rang baneñ

    aaj to mere dil bas itnā rishta hai

    rang-e-shafaq se

    donoñ raushan ruup talab ke

    donoñ qātil haiñ shab ke

    phir bhī un meñ farq baḌā hai

    dil nādāñ hai

    dil-e-nādāñ

    takmīl-e-tamannā bāteñ

    āġhāz-e-safar ke lamhoñ se

    hai āḳhir-e-shab bhī duur bahut

    is baar sahar ke lamhoñ se

    go mere dil mein

    aur ufuq ki lali mein

    hai rishta pyar ka

    phir bhi hum

    reg-e-bayaban mein is se

    maqtal ke siwa kya apnaen

    ye ret jigar goshe suraj ke

    jaane kab

    kis aane wale aalam mein

    phir lala-o-gul ban kar nikhren

    aur dur ufuq ki lali ke ham-rang banen

    aaj to mere dil ka bas itna rishta hai

    rang-e-shafaq se

    donon raushan rup talab ke

    donon hi qatil hain shab ke

    phir bhi un mein farq baDa hai

    dil nadan hai

    dil-e-nadan

    takmil-e-tamanna ki baaten

    aaghaz-e-safar ke lamhon se

    hai aaKHir-e-shab bhi dur bahut

    is bar sahar ke lamhon se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now