Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aansu ki wajh

Zeeshan Sahil

aansu ki wajh

Zeeshan Sahil

MORE BYZeeshan Sahil

    jab ham daraḳht banñā chāhte haiñ

    aur ban jaate haiñ

    lekin

    ham kisī ko saaya nahīñ de paate

    koī parinda hamārī shāḳhoñ par giit nahīñ gaatā

    koī gilahrī hamāre tane meñ apnā ghar nahīñ banātī

    hamārī koñpaloñ par kabhī os nahīñ chamaktī

    aur hazāroñ saal tak hameñ dīmak nahīñ lagtī

    jab ham rāsta ban jaanā chāhte haiñ

    aur ban jaate haiñ ek pul

    aur saarī zindagī

    ek jagah guzār dete haiñ

    aur sab hameñ paar kar ke zindagī bhar ke liye

    bichhaḌte rahte haiñ

    kisī ḳhāna-jañgī meñ hameñ aag nahīñ lagtī

    aur hamāre TukḌe duur duur tak

    ek saath nahīñ bahte

    jab ham samundar banñā chāhte haiñ

    aur mahz ek aañsū ban ke

    kisī rumāl meñ jagah banā lete haiñ

    aur koī use siine se nahīñ lagātā

    apnī kalā.ī par nahīñ bāñdhtā

    koī use jalā ke raakh

    kisī zaḳhm meñ nahīñ bhartā

    jab ham ek kahānī banñā chāhte haiñ

    aur sirf ek lafz ban ke

    sard hoñToñ se adā hote haiñ

    aur phir hamesha ḳhalāoñ meñ bhaTakte rahte haiñ

    fazā meñ gūñjte rahte haiñ

    shāyad ye lafz dil gahrā.ī se

    kabhī bāhar nahīñ nikal paatā

    aur hamesha ke liye

    hamārī tarah

    farāmosh kar diyā jaatā hai

    jab hum daraKHt banna chahte hain

    aur ban jate hain

    lekin

    hum kisi ko saya nahin de pate

    koi parinda hamari shaKHon par git nahin gata

    koi gilahri hamare tane mein apna ghar nahin banati

    hamari konpalon par kabhi os nahin chamakti

    aur hazaron sal tak hamein dimak nahin lagti

    jab hum rasta ban jaana chahte hain

    aur ban jate hain ek pul

    aur sari zindagi

    ek hi jagah guzar dete hain

    aur sab hamein par kar ke zindagi bhar ke liye

    bichhaDte rahte hain

    kisi KHana-jangi mein hamein aag nahin lagti

    aur hamare TukDe dur dur tak

    ek sath nahin bahte

    jab hum samundar banna chahte hain

    aur mahz ek aansu ban ke

    kisi rumal mein jagah bana lete hain

    aur koi use sine se nahin lagata

    apni kalai par nahin bandhta

    koi use jala ke rakh

    kisi zaKHm mein nahin bharta

    jab hum ek kahani banna chahte hain

    aur sirf ek lafz ban ke

    sard honTon se ada hote hain

    aur phir hamesha KHalaon mein bhaTakte rahte hain

    ya faza mein gunjte rahte hain

    ya shayad ye lafz dil ki gahrai se

    kabhi bahar nahin nikal pata

    aur hamesha ke liye

    hamari tarah

    faramosh kar diya jata hai

    Source:

    saarii nazmen (Pg. 220)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now