Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab Dar nahin lagta

Rubina Faisal

ab Dar nahin lagta

Rubina Faisal

MORE BYRubina Faisal

    ek Dar thā tanhā.ī

    ek Dar thā judā.ī

    jo musalsal mere saath rahtā thā

    kal din jo guzar gayā

    bahut bhārī lagtā thā

    lagtā thā kisī aise din bojh uThā na pā.ūñgī

    ādhe-adhūre rāste meñ mar jā.ūñgī

    magar kal din bhī aa gayā

    aur ret vo gharauñdā saath bahā le gayā

    jis meñ rakhe the maiñ ne

    rañg-ba-rañg ke pyāre patthar

    titliyoñ ke par aur mor ke pañkh

    phūloñ ke sab rañg

    aur āsmān dhanak

    gilahrī adh khāyā aḳhroT

    maañ ke paroñ tale baiThe murġhābī ke bachche

    us gharauñde par utrī dhuup jis ne mujh se merā saaya judā kar diyā thā

    kal jab vo sab be-rahm vaqt maujoñ ke saath bah gayā

    aur chār-sū qabr jaisā añdherā phail gayā

    to safed dhuup jaate jaate ek ehsān kar ga.ī

    vo mujh ko merā saaya lauTā ga.ī

    aur maiñ marte marte bach ga.ī varna

    maiñ to aise kal meñ mar jaatī

    āvāzoñ ke bichhaḌne se

    ek Dar tha tanhai ka

    ek Dar tha judai ka

    jo musalsal mere sath rahta tha

    kal ka din jo guzar gaya

    bahut bhaari lagta tha

    lagta tha kisi aise din ka bojh uTha na paungi

    aadhe-adhure raste mein hi mar jaungi

    magar kal ka din bhi aa hi gaya

    aur ret ka wo gharaunda sath hi baha le gaya

    jis mein rakhe the main ne

    rang-ba-rang ke pyare patthar

    titliyon ke par aur mor ke pankh

    phulon ke sab rang

    aur aasman ki dhanak

    gilahri ka adh khaya aKHroT

    man ke paron tale baiThe murghabi ke bachche

    us gharaunde par utri dhup jis ne mujh se mera saya juda kar diya tha

    kal jab wo sab be-rahm waqt ki maujon ke sath bah gaya

    aur chaar-su qabr jaisa andhera phail gaya

    to safed dhup jate jate ek ehsan kar gai

    wo mujh ko mera saya lauTa gai

    aur main marte marte bach gai warna

    main to aise kal mein mar hi jati

    aawazon ke bichhaDne se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now