Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi barf-bari thami hai

Kailash Mahir

abhi barf-bari thami hai

Kailash Mahir

MORE BYKailash Mahir

    bahut duur kyoñ bhiiḌ se maiñ khaḌā huuñ

    mujhe log kyoñ der se tak rahe haiñ

    mujhe kyā

    dhanak-rang holī uḌtā gulāl

    machaltā huā ruup rang

    mujhe vaqt ne jaise bachpan se pahle javānī atā

    javānī se pahle dil lahū munjamid kar diyā

    vaqt ne toḌ Daale khilaune sabhī lazzat-e-shauq ke

    mere ruḳhsār jhurriyāñ

    aañkh kauḌiyāñ

    zehn khiḌkiyāñ paañv beḌiyāñ

    vaqt barf-bārī in.aam haiñ

    bahut duur kyoñ bhiiḌ se maiñ khaḌā huuñ

    mujhe log kyoñ der se tak rahe haiñ

    bhiiḌ kyā kaun se log haiñ

    mehrbānoñ rishtoñ nātoñ bhiiḌ

    jinheñ mujh se baḌh kar tamanna hai tanḳhvāh ke cheque

    bhiiḌ kyā kaun se log haiñ

    mirī ġham-navāzī se baḌh kar jinheñ sirf coffē piyāla bahut hai

    bhiiḌ kyā kaun sab haiñ

    un hasīnāoñ jin ke āñchal kabhī ḳhvāb meñ bhī na bhīge

    merī chaah meñ

    mujhe bhiiḌ se vāsta kyā

    mujhe kyā dhanak rang holī uḌtā gulāl

    mujhe apne marqad pe hañsne mauqa milā

    abhī barf-bārī thamī hai

    zarā vaqt chaal maddham huī hai

    bahut dur kyon bhiD se main khaDa hun

    mujhe log kyon der se tak rahe hain

    mujhe kya

    dhanak-rang holi ka uDta gulal

    machalta hua rup rang

    mujhe waqt ne jaise bachpan se pahle jawani ata ki

    jawani se pahle hi dil ka lahu munjamid kar diya

    waqt ne toD Dale khilaune sabhi lazzat-e-shauq ke

    mere ruKHsar ki jhurriyan

    aankh ki kauDiyan

    zehn ki khiDkiyan panw ki beDiyan

    waqt ki barf-bari ka inam hain

    bahut dur kyon bhiD se main khaDa hun

    mujhe log kyon der se tak rahe hain

    bhiD kya kaun se log hain

    mehrbanon ki rishton ki naton ki bhiD

    jinhen mujh se baDh kar tamanna hai tanKHwah ke cheque ki

    bhiD kya kaun se log hain

    meri gham-nawazi se baDh kar jinhen sirf coffee ka piyala bahut hai

    bhiD kya kaun sab hain

    un hasinaon ki jin ke aanchal kabhi KHwab mein bhi na bhige

    meri chah mein

    mujhe bhiD se wasta kya

    mujhe kya dhanak rang holi ka uDta gulal

    mujhe apne marqad pe hansne ka mauqa mila

    abhi barf-bari thami hai

    zara waqt ki chaal maddham hui hai

    Source:

    Lamha Lamha Piyas (Pg. 26)

    • Author: Kailash Mahir
      • Publisher: Golden Publications, Delhi
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now