Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi to main jawan hun

Akhtar Payami

abhi to main jawan hun

Akhtar Payami

MORE BYAkhtar Payami

    abhī to maiñ javān huuñ

    javān ho to zindagī nabz gudgudā to do

    javān ho to vaqt siyāhiyāñ miTā to do

    ye aag lag rahī hai kyuuñ use zarā bujhā to do

    abhī to maiñ javān huuñ

    javān ho to āñdhiyoñ se Dar rahe ho kis liye

    javān ho to be-kasī se mar rahe ho kis liye

    urūs-e-nau tarah tum sañvar rahe ho kis liye

    abhī to maiñ javān huuñ

    javān ho to shīsha-o-sharāb zindagī nahīñ

    javān ho to zindagī meñ sirf ik hañsī nahīñ

    falak pe badliyāñ bhī haiñ falak pe chāñdnī nahīñ

    abhī to maiñ javān huuñ

    javān ho to ho ga.e ho zindagī pe baar kyuuñ

    javān ho to dar se palaT ga.ī bahār kyuuñ

    dimāġh hasratoñ hai banā huā mazār kyuuñ

    abhī to maiñ javān huuñ

    javān ho to zindagī se kaam le ke baḌh chalo

    javān ho to hurriyat naam le ke baḌh chalo

    dayār-e-inqalāb payām le ke baḌh chalo

    abhi to main jawan hun

    jawan ho to zindagi ki nabz gudguda to do

    jawan ho to waqt ki siyahiyan miTa to do

    ye aag lag rahi hai kyun use zara bujha to do

    abhi to main jawan hun

    jawan ho to aandhiyon se Dar rahe ho kis liye

    jawan ho to be-kasi se mar rahe ho kis liye

    urus-e-nau ki tarah tum sanwar rahe ho kis liye

    abhi to main jawan hun

    jawan ho to shisha-o-sharab zindagi nahin

    jawan ho to zindagi mein sirf ek hansi nahin

    falak pe badliyan bhi hain falak pe chandni nahin

    abhi to main jawan hun

    jawan ho to ho gae ho zindagi pe bar kyun

    jawan ho to dar hi se palaT gai bahaar kyun

    dimagh hasraton ka hai bana hua mazar kyun

    abhi to main jawan hun

    jawan ho to zindagi se kaam le ke baDh chalo

    jawan ho to hurriyat ka nam le ke baDh chalo

    dayar-e-inqalab ka payam le ke baDh chalo

    Source:

    Aina Khane (Pg. 85)

    • Author: Akhtar payami
      • Edition: 2004
      • Publisher: Zain Publications
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now