Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchhi kitab

Ata Abidi

achchhi kitab

Ata Abidi

MORE BYAta Abidi

    Interesting Fact

    Zaban-o-Adab, Patna, April 2012

    dostoñ meñ sab se achchhā dost hai achchhī kitāb

    aa batā duuñ kaisī hotī hai 'atā' achchhī kitāb

    har qadam par nek-o-bad farq batlātī hai ye

    har qadam ko sīdhī-sachchī raah dikhlātī hai ye

    dīn-o-duniyā hamesha ham ko detī hai sabaq

    raushnī raushnī detā hai is har varaq

    sīkhtī hai is se duniyā kāmrānī hunar

    ye atā kartī hai sab ko zindagānī hunar

    sahl ho jaatī haiñ is se vaqt bārīkiyāñ

    duur kartī hai ye sab ke zehn tārīkiyāñ

    zindagī ke imtihāñ meñ hausla detī hai ye

    chāhne vāloñ ko ūñchā martaba detī hai ye

    is sohbat se farozāñ aaj sham-e-e'tibār

    is ulfat se daraḳhshāñ aaj husn-e-iḳhtiyār

    zindagī paatī hai is se aap ḳhud apnī ḳhabar

    zindagī paatī hai is se ik maqām-e-mo.atabar

    baḳhshtī hai ye basārat aur basīrat bhī hameñ

    taaki dikhlā.ī paḌe shai haqīqat bhī hameñ

    ye hameñ batlātī hai ham kyā haiñ aur duniyā hai kyā

    ye hameñ batlātī hai rab kaun hai uqbā hai kyā

    is ke dāman meñ haiñ pinhāñ har zamāne ke uluum

    is ke āñgan meñ haiñ raqsāñ chāñd sūraj aur nujūm

    is ke jalve se huvaidā ma.arifat daulateñ

    nuur se is ke huā insān irfāñ hameñ

    is ke dam se ham pe vāzeh uqda-e-marg-o-hayāt

    is ke dam se ham pe raushan hai jahān-e-kā.enāt

    is qadar jāma.a mukammal haiñ 'atā' is sifāt

    kab hai mumkin pesh karnā ai 'atā' is sifāt

    doston mein sab se achchha dost hai achchhi kitab

    aa bata dun kaisi hoti hai 'ata' achchhi kitab

    har qadam par nek-o-bad ka farq batlati hai ye

    har qadam ko sidhi-sachchi rah dikhlati hai ye

    din-o-duniya ka hamesha hum ko deti hai sabaq

    raushni hi raushni deta hai is ka har waraq

    sikhti hai is se duniya kaamrani ka hunar

    ye ata karti hai sab ko zindagani ka hunar

    sahl ho jati hain is se waqt ki barikiyan

    dur karti hai ye sab ke zehn ki tarikiyan

    zindagi ke imtihan mein hausla deti hai ye

    chahne walon ko uncha martaba deti hai ye

    is ki sohbat se farozan aaj sham-e-e'tibar

    is ki ulfat se daraKHshan aaj husn-e-iKHtiyar

    zindagi pati hai is se aap KHud apni KHabar

    zindagi pati hai is se ek maqam-e-moatabar

    baKHshti hai ye basarat aur basirat bhi hamein

    taki dikhlai paDe shai ki haqiqat bhi hamein

    ye hamein batlati hai hum kya hain aur duniya hai kya

    ye hamein batlati hai rab kaun hai uqba hai kya

    is ke daman mein hain pinhan har zamane ke ulum

    is ke aangan mein hain raqsan chand suraj aur nujum

    is ke jalwe se huwaida marifat ki daulaten

    nur se is ke hua insan ka irfan hamein

    is ke dam se hum pe wazeh uqda-e-marg-o-hayat

    is ke dam se hum pe raushan hai jahan-e-kaenat

    is qadar jama mukammal hain 'ata' is ki sifat

    kab hai mumkin pesh karna ai 'ata' is ki sifat

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now