ai chand
ai chāñd mujhe itnā to batā
tū ne bhī prem kiyā thā kyā
in suunī lambī rātoñ meñ kis kī raah taktā rahtā hai
man terā ghāyal hai is kī piiḌā chup-chāp tū sahtā hai
kyā kāran hai nahīñ kahtā hai
tāroñ ne ishāroñ se jo kahā
tū ne bhī prem kiyā thā kyā
ai chāñd mujhe itnā to batā
dil kī dhaḌkan kī gāthā meñ man kī taḌpan ke afsāne
ye paapī duniyā kyā samjhe ye jag hatyārā kyā jaane
maiñ tū donoñ haiñ dīvāne
kuchh merī sun kuchh apnī sunā
tū ne bhī prem kiyā thā kyā
ai chāñd mujhe itnā to batā
jab terī ru-pahlī nagrī meñ khiltī hai sunahrī phulvārī
aise kisī duudh kī gangā meñ jyuuñ diip tarangeñ hoñ jaarī
ākāsh kamal baarī baarī
kahte haiñ kis kī birah kathā
tū ne bhī prem kiyā thā kyā
ai chāñd mujhe itnā to batā
sun kisī devgī hirdai kī jvālā aise bujh saktī hai
nainoñ ke jal se aahoñ se ye aur bhaḌakne lagtī hai
vo kaun hai kis meñ shaktī hai
jal sake na de jo use jalā
tū ne bhī prem kiyā thā kyā
ai chāñd mujhe itnā to batā
terī ujlī sī bastī meñ bhī shāyad aisā hotā hai
tab kapaT bhare man hañste haiñ jab premī chupke rotā hai
kis liye nahīñ tū sotā hai
sab jaan liyā tū laakh chhupā
tū ne bhī prem kiyā thā kyā
ai chāñd mujhe itnā to batā
ai chand mujhe itna to bata
tu ne bhi prem kiya tha kya
in suni lambi raaton mein kis ki rah takta rahta hai
man tera ghayal hai is ki piDa chup-chap tu sahta hai
kya karan hai nahin kahta hai
taron ne ishaaron se jo kaha
tu ne bhi prem kiya tha kya
ai chand mujhe itna to bata
dil ki dhaDkan ki gatha mein man ki taDpan ke afsane
ye papi duniya kya samjhe ye jag hatyara kya jaane
main tu donon hain diwane
kuchh meri sun kuchh apni suna
tu ne bhi prem kiya tha kya
ai chand mujhe itna to bata
jab teri ru-pahli nagri mein khilti hai sunahri phulwari
aise kisi dudh ki ganga mein jyun dip tarangen hon jari
aakash kamal bari bari
kahte hain kis ki birah katha
tu ne bhi prem kiya tha kya
ai chand mujhe itna to bata
sun kisi dewgi hirdai ki jwala aise bujh sakti hai
nainon ke jal se aahon se ye aur bhaDakne lagti hai
wo kaun hai kis mein shakti hai
jal sake na de jo use jala
tu ne bhi prem kiya tha kya
ai chand mujhe itna to bata
teri ujli si basti mein bhi shayad aisa hota hai
tab kapaT bhare man hanste hain jab premi chupke rota hai
kis liye nahin tu sota hai
sab jaan liya tu lakh chhupa
tu ne bhi prem kiya tha kya
ai chand mujhe itna to bata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.